سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے
سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کی
سو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف
سو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے
ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں
سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیں
سنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اس کی
سنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہے
سو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں
سو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے آئنہ تمثال ہے جبیں اس کی
جو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں
سنا ہے جب سے حمائل ہیں اس کی گردن میں
مزاج اور ہی لعل و گہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے چشم تصور سے دشت امکاں میں
پلنگ زاویے اس کی کمر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہے
کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں
وہ سرو قد ہے مگر بے گل مراد نہیں
کہ اس شجر پہ شگوفے ثمر کے دیکھتے ہیں
بس اک نگاہ سے لٹتا ہے قافلہ دل کا
سو رہروان تمنا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے شبستاں سے متصل ہے بہشت
مکیں ادھر کے بھی جلوے ادھر کے دیکھتے ہیں
رکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیں
چلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں
کسے نصیب کہ بے پیرہن اسے دیکھے
کبھی کبھی در و دیوار گھر کے دیکھتے ہیں
کہانیاں ہی سہی سب مبالغے ہی سہی
اگر وہ خواب ہے تعبیر کر کے دیکھتے ہیں
اب اس کے شہر میں ٹھہریں کہ کوچ کر جائیں
فرازؔ آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shehr mein kuchh din thehar ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab haalon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
So hum bhi mojize apne hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baaton se phool jhadte hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat usay chand takta rehta hai
Sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnu thehar ke dekhte hain
Suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai raat se badh kar hain kakulein us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmgi qayamat hai
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulaab jalte hain
So hum bahar pe ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain usay bin sanwar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan mein
Mizaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
Palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
Ke phool apni qabain katar ke dekhte hain
Wo sarv-e-qad hai magar be-gul muraad nahin
Ke is shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutta hai qafla-e-dil ka
So rehravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se muttasil hai behisht
Makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
Ruke to gardishen us ka tawaf karti hain
Chale to us ko zamane thehar ke dekhte hain
Kise naseeb ke be-pairahan usay dekhe
Kabhi kabhi dar-o-deewar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
Agar wo khwab hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke shehr mein thehren ke koch kar jaayen
Faraz, aao sitare safar ke dekhte hain
ِاحمد فراز، اصل نام سید احمد شاہ، 12 جنوری 1931ء کو نوشہرہ میں پیدا ہوئے۔ ان کے والدسید محمد شاہ برق خود استاد اور فارسی شاعر تھے،احمد فراز ابتدائی...
مکمل تعارف پڑھیں