جب سے تو نے مجھے دیوانہ بنا رکھا ہے
جب سے تو نے مجھے دیوانہ بنا رکھا ہے سنگ ہر شخص نے ہاتھوں میں اٹھا رکھا ہے اس کے دل پر بھی کڑی عشق میں گزری ہوگی نام جس نے بھی محبت کا سزا رکھا ہے پتھرو آج مرے سر پہ برستے کیوں ہو میں نے تم کو بھی کبھی اپنا خدا رکھا ہے اب مری دید کی دنیا بھی تماشائی ہے تو نے کیا مجھ کو محبت میں بنا رکھا ہے پی جا ایام کی تلخی کو بھی ہنس کر ناصرؔ غم کو سہنے میں بھی قدرت نے مزا رکھا ہے
English rendering
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai Sang har shakhs ne haathon mein uTha rakha hai Us ke dil par bhi kaRi ishq mein guzri hogi Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai Pattharon aaj mere sar pe baraste kyun ho Main ne tum ko bhi kabhi apna Khuda rakha hai Ab meri deed ki dunya bhi tamashayi hai Tu ne kya mujh ko mohabbat mein bana rakha hai Pi ja ayyaam ki talkhi ko bhi hans kar Nasir! Gham ko sehne mein bhi qudrat ne maza rakha hai