تمہی کو آج مرے روبرو بھی ہونا تھا
اور ایسے رنگ میں جس کا کبھی گماں بھی نہ ہو
نگاہ تند غضب ناک دل کلام درشت
چمن میں جیسے کسی باغباں کی آنکھوں نے
روش کے ساتھ ہی ننھے سے ایک پودے کو
شگفتہ ہو کے سنورتے نکھرتے دیکھا ہو
مری تمہاری کہانی یہی کہانی ہے
روش پر سر کو اٹھائے ہر ایک سوچ سے دور
میں اپنی دھن میں مگن تھا ہر تازہ قدم
مرے افق پہ چمکتے ہوئے ستارے کی
ہر اک کرن کو مرے پاس لائے جاتا تھا
مجھے نہ خار کا اندیشہ تھا نہ ٹھوکر کا
مگر یہ بھول تھی میری وہ خود فراموشی
مرے ہی سامنے آئی ہے اور صورت میں
نگاہ تند غضب ناک دل کلام درشت
مگر اب اس کی ضرورت نہیں میں سوچتا ہوں
تمہی کو آج مرے روبرو نہ ہونا تھا
جہاں میں اور بھی تھے مجھ سے تم سے بڑھ کے کہیں
جو اجنبی تھے جنہیں اجنبی ہی رہنا تھا
مجھے کسی نے بتایا ہے آپ کے یہ دوست
ہمیشہ رات گئے اپنے گھر کو آتے ہیں
لبوں سے سیٹی بجاتے ہیں گنگناتے ہیں
کسی کی آہ کسی کے کرم سے مٹتی ہے
میں تجھ سے کہتی ہوں بہنا یہ کیا زمانہ ہے
نہ اپنے نام کا کچھ پاس ہے نہ گھر کی لاج
گئے مہینے سے ہر روز رات کو چھپ کر
ہماری بی بی کسی مردوئے سے ملتی ہے
مجھے یہ فکر نہیں نوکروں کو عادت ہے
کہ پر کو کوا بناتے ہیں رائی کا پربت
بس ایک دھیان کسی تیر کی طرح سیدھا
یہ سوچ بن کے مرے دل میں آ ٹھہرتا ہے
یہی ہے جس کا کبھی نام لاجونتی تھا
Tumhī ko āj mere rū-ba-rū bhī honā thā
Aur aise rang mein jis kā kabhī gumān bhī na ho
Nigāh-e-tand, ghazabnāk, dil kalām-e-durusht
Chaman mein jaise kisī bāghbān kī āñkhon ne
Ravish ke sāth hī nanhe se ek paude ko
Shagufta ho ke sanvarte nikhharte dekhā ho
Mirī tumhārī kahānī yahī kahānī hai
Ravish par sar ko uṭhāye har ek soch se dūr
Main apnī dhun mein magan thā har tāza qadam
Mere ufuq pe chamakte hue sitāre kī
Har ik kiran ko mere pās lāye jātā thā
Mujhe na khār kā āndesha thā na ṭhokar kā
Magar ye bhūl thī merī vo khud farāmoshī
Mere hī sāmne āī hai aur sūrat mein
Nigāh-e-tand, ghazabnāk, dil kalām-e-durusht
Magar ab is kī zarūrat nahīn main sochtā hūn
Tumhī ko āj mere rū-ba-rū na honā thā
Jahān mein aur bhī the mujh se tum se baṛh ke kahīn
Jo ajnabī the jinhein ajnabī hī rahnā thā
Mujhe kisī ne batāyā hai āp ke ye dost
Hamesha raat gaye apne ghar ko āte hain
Labon se sīṭī bajāte hain gungunāte hain
Kisī kī āh kisī ke karam se miṭtī hai
Main tujh se kahtī hūn behnā ye kyā zamāna hai
Na apne nām kā kuch pās hai na ghar kī lāj
Gaye mahīne se har roz raat ko chhup kar
Hamārī bī bī kisī marduaye se miltī hai
Mujhe ye fikr nahīn naukrōn ko ādat hai
Ke par ko kavvā banāte hain rāī kā parbat
Bas ek dhyān kisī tīr kī tarah sīdhā
Ye soch ban ke mere dil mein ā ṭhahartā hai
Yahī hai jis kā kabhī nām Lājvantī thā
میرا جی اردو ادب کے اُن چند منفرد اور اثر انگیز شعرا میں شمار ہوتے ہیں جنہوں نے بیسویں صدی میں اردو نظم کو ایک بالکل نیا شعور، نیا لہجہ اور نئی فکر...
مکمل تعارف پڑھیں