بچا کے رکھا ہے جس کو غروب جاں کے لئے
یہ ایک صبح تو ہے سیر بوستاں کے لئے
چلیں کہیں تو سیہ دل زمانوں میں ہوں گی
فراغتیں بھی اس اک صدق رائیگاں کے لئے
لکھے ہیں لوحوں پہ جو مردہ لفظ ان میں جئیں
اس اپنی زیست کے اسرار کے بیاں کے لئے
پکارتی رہی بنسی بھٹک گئے ریوڑ
نئے گیاہ نئے چشمۂ رواں کے لئے
سحر کو نکلا ہوں مینہ میں اکیلا کس کے لئے
درخت ابر ہوا بوئے ہمرہاں کے لئے
سواد نور سے دیکھیں تو تب سراغ ملے
کہ کس مقام کی ظلمت ہے کس جہاں کے لئے
تو روشنی کے ملیدے میں رزق کی خاطر
میں روشنائی کے گودے میں آب و ناں کے لئے
ترس رہے ہیں سدا خشت خشت لمحوں کے دیس
جو میرے دل میں ہے اس شہر بے مکاں کے لئے
یہ نین جلتی لوؤں جیتی نیکیوں والے
گھنے بہشتوں کا سایہ ہیں ارض جاں کے لئے
ضمیر خاک میں خفتہ ہے میرا دل امجدؔ
کہ نیند مجھ کو ملی خواب رفتگاں کے لئے
شاعر: مجید امجد
آواز: ایمان
Bachā ke rakkhā hai jis ko ghurūb-e-jāñ ke liye
Ye ek subah to hai sair-e-būstāñ ke liye
Chaleñ kahīñ to siyah-dil zamānon mein hoñgī
Farāghateñ bhī us ek sidq-e-rā.egāñ ke liye
Likhe hain lauḥon pe jo murda lafz un mein jiyeñ
Is apnī zeest ke asrār ke bayāñ ke liye
Pukārtī rahī bansī, bhaṭak ga.e revaṛ
Na.e gayāh na.e chashma-e-ravāñ ke liye
Sahar ko niklā hūñ meñh mein akelā kis ke liye
Darakht, abr, havā, bū-e-hamrāhāñ ke liye
Savād-e-nūr se dekheñ to tab surāgh mile
Kih kis maqām kī zulmat hai kis jahāñ ke liye
Tū roshanī ke malīde mein rizq kī khātir
Maiñ roshnā.ī ke gūde mein āb-o-nāñ ke liye
Taras rahe hain sadā k͟hisht k͟hisht lamhon ke des
Jo mere dil mein hai us shahar-e-be-makāñ ke liye
Ye nain jaltī lau'on jītī nekīyon vāle
Ghane bahishton kā sāya hain arz-e-jāñ ke liye
Zamīr-e-khāk mein khufta hai merā dil Amjad!
Kih nīnd mujh ko milī khwāb-e-raftagāñ ke liye