کشتی چلا رہا ہے مگر کس ادا کے ساتھ
ہم بھی نہ ڈوب جائیں کہیں نا خدا کے ساتھ
دل کی طلب پڑی ہے تو آیا ہے یاد اب
وہ تو چلا گیا تھا کسی دل ربا کے ساتھ
جب سے چلی ہے آدم و یزداں کی داستاں
ہر با وفا کا ربط ہے اک بے وفا کے ساتھ
مہمان میزباں ہی کو بہکا کے لے اڑا
خوشبوئے گل بھی گھوم رہی ہے صبا کے ساتھ
پیر مغاں سے ہم کو کوئی بیر تو نہیں
تھوڑا سا اختلاف ہے مرد خدا کے ساتھ
شیخ اور بہشت کتنے تعجب کی بات ہے
یارب یہ ظلم خلد کی آب و ہوا کے ساتھ
پڑھتا نماز میں بھی ہوں پر اتفاق سے
اٹھتا ہوں نصف رات کو دل کی صدا کے ساتھ
محشر کا خیر کچھ بھی نتیجہ ہو اے عدمؔ
کچھ گفتگو تو کھل کے کریں گے خدا کے ساتھ
شاعر: عبدالحمیدعدم
آواز: ایمان
Kashtī chalā rahā hai magar kis adā ke sāth
Ham bhī na Doob jā'en kahīn nā-KHudā ke sāth
Dil kī talab paRī hai to āyā hai yaad ab
Woh to chalā gayā thā kisī dil-rubā ke sāth
Jab se chalī hai Ādam o Yazdāñ kī dāstāñ
Har bā-wafā kā rabt hai ik be-wafā ke sāth
Mehmān mezbān hī ko behkā ke le uRā
KHushboo-e-gul bhī ghoom rahī hai sabā ke sāth
Pīr-e-mughāñ se ham ko koī bair to nahīn
ThoRā sā iKHtilāf hai mard-e-KHudā ke sāth
ShaiKH aur bahisht kitne ta'ajjub kī bāt hai
Yā Rab yeh zulm KHuld kī āb-o-hawā ke sāth
PaRhtā namāz mein bhī hoon par ittifāq se
Uthtā hoon nisf rāt ko dil kī sadā ke sāth
Mahshar kā KHair kuchh bhī natīja ho ay 'Adam'
Kuchh guftugū to khul ke karenge KHudā ke sāth