درد پا ہوگا شکست کاسۂ سر کا جواب
غافلوں کو دے گی میری لاش ٹھوکر کا جواب
شوق سے لکھیں مرے عصیاں فرشتے رات دن
ایک رحمت اس کی ہے اس سارے دفتر کا جواب
ایک دن وہ میرے گھر ہے ایک دن وہ اس کے گھر
غیر کی قسمت بھی ہے میرے مقدر کا جواب
جب میں کہتا ہوں کہو گے کیا خدا کے سامنے
کہتے ہیں تم کو بتا دیں روز محشر کا جواب
نرم دل سے نرم دل ہیں سخت گو سے سخت گو
شیشے کا شیشہ یہاں پتھر ہے پتھر کا جواب
اس نے خط بھیجا جو مجھ کو ڈاک پر ڈاکہ پڑا
یار کیا کرتا نہ تھا میرے مقدر کا جواب
منہ چڑھاؤ اور کا تیوری چڑھاؤ اور پر
آئینہ ہوں منہ پہ دوں گا میں برابر کا جواب
پھینک دو خط لکھ کے قاصد سے جو تم بیزار ہو
اڑ کے آئے گا جو ہے میرے مقدر کا جواب
منہ کی کھائی سیکڑوں بال آئنہ میں پڑ گئے
لے کے آیا تھا تری زلف معنبر جو جواب
شاعر: امیر مینائی
آواز: افتخار احمد
Dard-e-pā hogā shikast-e-kāsa-e-sar kā javāb
Ghāfiloñ ko degī merī lāsh ṭhokar kā javāb
Shauq se likheñ mere 'isyāñ firishte rāt din
Ek rahmat us kī hai us sāre daftar kā javāb
Ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
Ghair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
Jab maiñ kahtā huuñ kahoge kyā khudā ke sāmnē
Kahte haiñ tum ko batā deñ roz-e-mahshar kā javāb
Narm dil se narm dil haiñ sakht-go se sakht-go
Shīshe kā shīsha yahāñ patthar hai patthar kā javāb
Us ne khaṭ bheja jo mujh ko ḍāk par ḍākā paṛā
Yār kyā kartā na thā mere muqaddar kā javāb
Muñh chaṛhāo aur kā tevarī chaṛhāo aur par
Ā'īna huuñ muñh pe dūñgā maiñ barābar kā javāb
Pheiñk do khaṭ likh ke qāsid se jo tum bezār ho
Uṛ ke ā'egā jo hai mere muqaddar kā javāb
Muñh kī khā'ī saikṛoñ bāl ā'īna mein paṛ ga'e
Le ke āyā thā tarī zulf-e-m'anbar jo javāb