گھر گھر تجلیاں ہیں طلب گار بھی تو ہو
موسیٰ سا کوئی طالب دیدار بھی تو ہو
دل درد ناک چاہیے لاکھوں ہیں خوبرو
عیسیٰ ہیں سیکڑوں کوئی بیمار بھی تو ہو
گر ہم نہیں تو رونق بازار عشق کیا
اے حسن خود فروش خریدار بھی تو ہو
پردے میں چاہتا ہے کہ ہنگامہ ہو بپا
اے آفتاب حشر نمودار بھی تو ہو
اتنی اداس صحبت مے واہ مے کشو
دست سبو میں شیخ کی دستار بھی تو ہو
زاہد امید رحمت حق اور ہجو مے
پہلے شراب پی کے گنہ گار بھی تو ہو
سوؤں میں آ کے دھوپ سے پاؤں اماں مگر
راضی تمہارا سایۂ دیوار بھی تو ہو
ساقی اداس کیوں نہ ہو بزم مے و سبو
مے خانہ میں امیرؔ سا مے خوار بھی تو ہو
شاعر: امیر مینائی
آواز: افتخار احمد
Ghar ghar tajalliyāñ haiñ talabgār bhī to ho
Mūsā sā koī tālib-e-dīdār bhī to ho
Dil dardnāk chāhiye lākhoñ haiñ khūb-rū
Īsā hī haiñ saikṛoñ koī bīmār bhī to ho
Gar ham nahīñ to raunaq-e-bāzār-e-ishq kyā
Ai husn-e-khud-farosh! kharīdār bhī to ho
Parde mein chāhtā hai ki hangāma ho bapā
Ai āftāb-e-hashr! numūdār bhī to ho
Itnī udās sohbat-e-mai vāh mai-kasho
Dast-e-subū mein shaikh kī dastār bhī to ho
Zāhid! ummīd-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
Pahle sharāb pī ke gunahgār bhī to ho
Sū'oñ mein aa ke dhūp se pā'oñ amāñ magar
Rāzī tumhārā sāya-e-dīvār bhī to ho
Sāqī! udās kyuuñ na ho bazm-e-mai-o-subū
Mai-khāne mein Amīrؔ sā mai-khvār bhī to ho