میری ساری زندگی کو بے ثمر اس نے کیا
عمر میری تھی مگر اس کو بسر اس نے کیا
میں بہت کمزور تھا اس ملک میں ہجرت کے بعد
پر مجھے اس ملک میں کمزور تر اس نے کیا
راہبر میرا بنا گمراہ کرنے کے لیے
مجھ کو سیدھے راستے سے در بہ در اس نے کیا
شہر میں وہ معتبر میری گواہی سے ہوا
پھر مجھے اس شہر میں نا معتبر اس نے کیا
شہر کو برباد کر کے رکھ دیا اس نے منیرؔ
شہر پر یہ ظلم میرے نام پر اس نے کیا
شاعر: منیرنیازی
آواز: افتخار احمد
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
Umar meri thi magar us ko basar us ne kiya
Main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
Par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
Rahbar mera bana gumrah karne ke liye
Mujh ko seedhe raaste se dar ba dar us ne kiya
Shehr mein woh mo'tabar meri gawahi se hua
Phir mujhe is shehr mein na mo'tabar us ne kiya
Shehr ko barbaad kar ke rakh diya us ne Muneer
Shehr par yeh zulm mere naam par us ne kiya