رات ہاتھوں میں جام ہوتا ہے
تصوراتی کلام ہوتا ہے
اپ اک چاند کی طرح ٹھہرے
دور ہی سے سلام ہوتا ہے
وہ جنہیں دیکھتے تھے روز صبح
اب تو یہ بھی حرام ہوتا ہے
مجھ کو محسوس یہ ہوا اکثر
ائینہ ہم کلام ہوتا ہے
شہر میں اج قمر لیلی کے
مجنوں ہی بدنام ہوتا ہے
شاعر: راجہ اکرام قمر
آواز: ملک
Raat hathon mein jaam hota hai
Tasawwurati kalam hota hai
Ap ek chand ki tarah thehre
Door hi se salam hota hai
Woh jinhein dekhte the roz subah
Ab to yeh bhi haraam hota hai
Mujh ko mehsoos yeh hua aksar
Aaina hum kalam hota hai
Shehar mein aaj Qamar Laila ke
Majnoon hi badnaam hota hai