اس میں ساری صفات پھولوں کی
اس میں ساری صفات پھولوں کی اس کی ہر بات بات پھولوں کی جسم اس کا جلوس کلیوں کا اس کا چہرہ برات پھولوں کی ان لبوں پر تمام ہوتی ہے سرحد ممکنات پھولوں کی اپنی اک پھول جیسے چہرہ سے روز ہوتی ہے بات پھولوں کی رکھ کے پھولوں کو رخ پہ فرمایا ایسے ہوتی ہے مات پھولوں کی میر محفل ہے ہجر کی خوشبو اور خوشبو ہے ساتھ پھولوں کی رنگ آنکھوں میں رہ گئے لیکن آئی خوشبو نہ ہاتھ پھولوں کی
English rendering
Is mein saari sifaat phoolon kī Is kī har baat, baat phoolon kī Jism us kā juloos kaliyon ka Us kā chehra baraat phoolon kī In laboñ par tamaam hotī hai Sarhad-e-mumkinaat phoolon kī Apni ek phool jaise chehre se Roz hotī hai baat phoolon kī Rakh ke phoolon ko rukh pe farmaya Aise hotī hai maat phoolon kī Meer-e-mehfil hai hijr kī khushboo Aur khushboo hai saath phoolon kī Rang aankhoñ mein reh gaye lekin Aaī khushboo na haath phoolon kī