سارا دن رابطے میں رہتا ہے
دل بڑے حوصلے میں رہتا ہے
دوست! تھوڑی سی دیر اور سہی
ایک آنسو گلے میں رہتا ہے
میرا اندھے یقین والا بھی
آجکل وسوسے میں رہتا ہے
عشق اپنے بدن سے ہجرت ہے!
آدمی دوسرے میں رہتا ہے
اس کی باتیں کوئی نہیں سنتا
ہر کوئی دیکھنے میں رہتا ہے
Sara din rabte mein rehta hai
Dil bade hausle mein rehta hai
Dost! thodi si der aur sahi
Ek aansu gale mein rehta hai
Mera andhe yaqeen wala bhi
Aajkal waswase mein rehta hai
Ishq apne badan se hijrat hai!
Aadmi doosre mein rehta hai
Us ki baatein koi nahin sunta
Har koi dekhne mein rehta hai