فکر منزل ہے نہ ہوش جادۂ منزل مجھے
جا رہا ہوں جس طرف لے جا رہا ہے دل مجھے
اب زباں بھی دے ادائے شکر کے قابل مجھے
درد بخشا ہے اگر تو نے بجائے دل مجھے
یوں تڑپ کر دل نے تڑپایا سر محفل مجھے
اس کو قاتل کہنے والے کہہ اٹھے قاتل مجھے
اب کدھر جاؤں بتا اے جذبۂ کامل مجھے
ہر طرف سے آج آتی ہے صدائے دل مجھے
روک سکتی ہو تو بڑھ کر روک لے منزل مجھے
ہر طرف سے آج آتی ہے صدائے دل مجھے
جان دی کہ حشر تک میں ہوں مری تنہائیاں
ہاں مبارک فرصت نظارۂ قاتل مجھے
ہر اشارے پر ہے پھر بھی گردن تسلیم خم
جانتا ہوں صاف دھوکے دے رہا ہے دل مجھے
جا بھی اے ناصح کہاں کا سود اور کیسا زیاں
عشق نے سمجھا دیا ہے عشق کا حاصل مجھے
میں ازل سے صبح محشر تک فروزاں ہی رہا
حسن سمجھا تھا چراغ کشتۂ محفل مجھے
خون دل رگ رگ میں جم کر رہ گیا اس وہم سے
بڑھ کے سینے سے نہ لپٹا لے مرا قاتل مجھے
کیسا قطرہ کیسا دریا کس کا طوفاں کس کی موج
تو جو چاہے تو ڈبو دے خشکئ ساحل مجھے
پھونک دے اے غیرت سوز محبت پھونک دے
اب سمجھتی ہیں وہ نظریں رحم کے قابل مجھے
توڑ کر بیٹھا ہوں راہ شوق میں پائے طلب
دیکھنا ہے جذبۂ بے تابئ منزل مجھے
اے ہجوم ناامیدی شاد باش و زندہ باش
تو نے سب سے کر دیا بیگانہ و غافل مجھے
درد محرومی سہی احساس ناکامی سہی
اس نے سمجھا تو بہر صورت کسی قابل مجھے
یہ بھی کیا منظر ہے بڑھتے ہیں نہ رکتے ہیں قدم
تک رہا ہوں دور سے منزل کو میں منزل مجھے
Fikr-e-manzil hai na hosh-e-jāda-e-manzil mujhe
Jā rahā hūñ jis taraf le jā rahā hai dil mujhe
Ab zabāñ bhī de adā-e-shukr ke qābil mujhe
Dard baḳhshā hai agar tū ne bajā-e-dil mujhe
Yūñ taḌap kar dil ne taḌpāyā sar-e-mahfil mujhe
Is ko qātil kahne vaale kah uThe qātil mujhe
Ab kidhar jā.ūñ batā ai jazba-e-kāmil mujhe
Har taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
Rok saktī ho to baḌh kar rok le manzil mujhe
Har taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
Jāñ dī ki hashr tak maiñ hūñ mirī tanhā.iyāñ
Hāñ mubārak fursat-e-nazāra-e-qātil mujhe
Har ishāre par hai phir bhī gardan-e-taslīm ḳham
Jāntā hūñ sāf dhoke de rahā hai dil mujhe
Jā bhī ai nāseh kahāñ kā sūd aur kaisā ziyāñ
Ishq ne samjhā diyā hai ishq kā hāsil mujhe
Maiñ azal se sub.h-e-mahshar tak farozāñ hī rahā
Husn samjhā thā charāġh-e-kushta-e-mahfil mujhe
Khūn-e-dil rag rag meñ jam kar rah gayā is wahm se
BaḌh ke siine se na liptā le mirā qātil mujhe
Kaisā qatra kaisā dariyā kis kā tūfān kis kī mauj
Tū jo chāhe to Dubo de ḳhushkī-e-sāhil mujhe
Phūñk de ai ghairat-e-soz-e-mohabbat phūñk de
Ab samajhtī haiñ vo nazreñ rahm ke qābil mujhe
ToḌ kar baiThā hūñ rāh-e-shauq meñ pā-e-talab
Dekhnā hai jazba-e-betābī-e-manzil mujhe
Ai hujūm-e-nā-ummīdī shād bāsh o zinda bāsh
Tū ne sab se kar diyā begāna o ghāfil mujhe
Dard-e-mahrūmī sahī ehsās-e-nākāmī sahī
Us ne samjhā to ba-har-sūrat kisī qābil mujhe
Ye bhī kyā manzar hai baḌhte haiñ na rukte haiñ qadam
Tak rahā hūñ duur se manzil ko maiñ manzil mujhe
جگر مرادآبادی اردو کے ممتاز کلاسیکی غزل نگار اور صوفی شاعر تھے، جن کا اصل نام علی سکندر تھا اور تخلص جگر مرادآبادی تھا۔ ان کی پیدائش چھ اپریل انیس ...
مکمل تعارف پڑھیں