دن بھر کے دہکتے ہوئے سورج سے لڑا ہوں
دن بھر کے دہکتے ہوئے سورج سے لڑا ہوں اب رات کے دریا میں پڑا ڈوب رہا ہوں اب تک میں وہیں پر ہوں جہاں سے میں چلا ہوں آواز کی رفتار سے کیوں بھاگ رہا ہوں رکھتے ہو اگر آنکھ تو باہر سے نہ دیکھو دیکھو مجھے اندر سے بہت ٹوٹ چکا ہوں یہ سب تری مہکی ہوئی زلفوں کا کرم ہے اک سانس میں اک عمر کے دکھ بھول گیا ہوں تو جسم کے اندر ہے کہ باہر ہے کدھر ہے علویؔ مری جاں کب سے تجھے ڈھونڈ رہا ہوں
English rendering
Din bhar ke dahakte hue sooraj se laḍā huñ Ab rāt ke daryā mein paḍā ḍoob rahā huñ Ab tak maiñ wahīñ par huñ jahāñ se maiñ chalā huñ Āwāz kī raftār se kyuñ bhāg rahā huñ Rakhte ho agar ānkh to bāhar se na dekho Dekho mujhe andar se bahut ṭooṭ chukā huñ Yeh sab terī mahkī huī zulfon ka karam hai Ik saañs mein ik umar ke dukh bhool gayā huñ Tu jism ke andar hai ki bāhar hai kidhar hai Alwi merī jaan kab se tujhe ḍhūnḍ rahā huñ