دکھ کا احساس نہ مارا جائے
دکھ کا احساس نہ مارا جائے آج جی کھول کے ہارا جائے ان مکانوں میں کوئی بھوت بھی ہے رات کے وقت پکارا جائے سوچنے بیٹھیں تو اس دنیا میں ایک لمحہ نہ گزارا جائے ڈھونڈتا ہوں میں زمیں اچھی سی یہ بدن جس میں اتارا جائے ساتھ چلتا ہوا سایہ اپنا ایک پتھر اسے مارا جائے ہم یگانہ تو نہیں ہیں علویؔ ناؤ جائے کہ کنارا جائے
English rendering
Dukh ka ehsās na mārā jaaye Aaj jee khol ke haarā jaaye In makānoñ mein koī bhūt bhi hai Rāt ke waqt pukārā jaaye Sochne baiṭhein to is duniyā mein Ek lamha na guzārā jaaye Ḍhūnḍtā huñ maiñ zamīn achhī si Yeh badan jis mein utārā jaaye Saath chaltā huā sāyā apnā Ek patthar usay mārā jaaye Hum yagāna to nahīñ hain Alwi Nāo jaaye ki kinārā jaaye