جاتی ہوئی لڑکی کو صدا دینا چاہیئے
جاتی ہوئی لڑکی کو صدا دینا چاہیئے گھر ہو تو برا کیا ہے پتہ دینا چاہیئے ہونٹوں کے گلابوں کو چرا لینے سے پہلے بالوں میں کوئی پھول کھلا دینا چاہیئے ڈر ہے کہیں کمرے میں نہ گھس آئے یہ منظر کھڑکی کو کہیں اور ہٹا دینا چاہیئے پر تول کے بیٹھی ہے مگر اڑتی نہیں ہے تصویر سے چڑیا کو اڑا دینا چاہیئے صدیوں سے کنارے پہ کھڑا سوکھ رہا ہے اس شہر کو دریا میں گرا دینا چاہیئے مرنے میں مزا ہے مگر اتنا تو نہیں ہے علویؔ تمہیں قاتل کو دعا دینا چاہئے
English rendering
Jātī huī laḍki ko sadā denā chāhiye Ghar ho to burā kya hai patā denā chāhiye Hoñṭon ke gulābon ko churā lene se pehle Bālon mein koī phool khilā denā chāhiye Ḍar hai kahīñ kamre mein na ghus aaye yeh manzar Khiḍkī ko kahīñ aur haṭā denā chāhiye Par tol ke baiṭhi hai magar uḍtī nahīñ hai Tasveer se chiḍiyā ko uḍā denā chāhiye Sadiyon se kināre pe khaḍā sookh rahā hai Is shahr ko daryā mein girā denā chāhiye Marne mein mazā hai magar itnā to nahīñ hai Alwi tumhein qātil ko duā denā chāhiye