محمد علوی

محمد علوی

شاعر — Muhammad Alvi

تعارف شاعری

مجھے ان جزیروں میں لے جاؤ

مجھے ان جزیروں میں لے جاؤ جو کانچ جیسے چمکتے ہوئے پانیوں میں گھرے ہیں جہاں لڑکیاں ناریل کے درختوں کے پتوں سے اپنے بدن کے خطرناک حصے چھپاتی ہیں پھولوں کے گجرے پہن کر بڑی شان سے مسکراتی ہیں بچے جہاں ریت کے گھر بناتے ہیں اور ساحلوں کی چمکتی ہوئی ریت پر لوگ سن باتھ لیتے ہیں پانی میں غوطہ لگا کر سیپیاں مچھلیاں اور گھونگھے پکڑتے ہیں اور رات کو چاندنی میں ناچتے اور گاتے ہیں اور پھونس کے ننھے منے مکانوں میں آرام کی نیند سو جاتے ہیں مجھے ان جزیروں میں لے جاؤ جو کانچ جیسے چمکتے ہوئے پانیوں میں گھرے ہیں تو ممکن ہے میں اور کچھ روز جی لوں کہ شہروں میں اب میرا دم گھٹ گیا ہے

— محمد علوی

English rendering

Mujhe un jazeeron mein le jaao Jo kaanch jaise Chamakte hue paaniyon mein ghure hain Jahan ladkiyan Nariyal ke darakhton ke patton se Apne badan ke Khatarnaak hisse chhupaati hain Phoolon ke gajre pehan kar Badi shaan se muskurati hain Bachche jahan Reit ke ghar banate hain Aur sahilon ki chamakti hui reit par Log sunbath le lete hain Paani mein ghota laga kar Seepiyan machhliyan aur ghoonghe pakadte hain Aur raat ko Chandni mein Naachte aur gaate hain Aur phoons ke Nanhe munne makaanon mein Aaraam ki neend so jaate hain Mujhe un jazeeron mein le jaao Jo kaanch jaise Chamakte hue paaniyon mein ghure hain To mumkin hai main Aur kuch roz jee loon Ke shehron mein ab Mera dam ghut gaya hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس