یوں تو کم کم تھی محبت اس کی
یوں تو کم کم تھی محبت اس کی کم نہ تھی پھر بھی رفاقت اس کی سارے دکھ بھول کے ہنس لیتا تھا یہ بھی تھی ایک کرامت اس کی الجھنیں اور بھی تھیں اس کے لیے ایک میں بھی تھا مصیبت اس کی پہلے بھی پینے کو جی کرتا تھا مل ہی جاتی تھی اجازت اس کی خواب میں جیسے چلا کرتا ہوں دیکھتا رہتا ہوں صورت اس کی نام رہتا ہے زباں پر اس کا گھر میں رہتی ہے ضرورت اس کی اس کی عادت تھی شرارت کرنا کاش یہ بھی ہو شرارت اس کی پھیلتے بڑھتے ہوئے بستر میں ڈھونڈھتا رہتا ہوں قربت اس کی ایک بوسیدہ سا گھر چھوڑ گئی لے گئی ساتھ وہ جنت اس کی
English rendering
Yun to kam kam thi mohabbat us ki Kam na thi phir bhi rafaqat us ki Saare dukh bhool ke hans leta tha Ye bhi thi ek karamat us ki Uljhanen aur bhi thin us ke liye Ek main bhi tha museebat us ki Pehle bhi peene ko jee karta tha Mil hi jaati thi ijazat us ki Khwab mein jaise chala karta hoon Dekhta rehta hoon soorat us ki Naam rehta hai zaban par us ka Ghar mein rehti hai zaroorat us ki Us ki aadat thi shararat karna Kaash ye bhi ho shararat us ki Phelte badhte hue bistar mein Dhoondhta rehta hoon qurbat us ki Ek boseeda sa ghar chhod gayi Le gayi saath woh jannat us ki