راشد ڈوگر — شاعر کی تصویر

بابا اور برفی — راشد ڈوگر

شاعر

تعارف شاعری

بابا اور برفی

جب بھی برفی ملے ہے کھانے کو
ذائقوں کے سفر پہ جاؤں نکل
میں ہوں چھوٹا سا، اور بھائی مرا
دونوں بیٹھے ہیں ایک قصبے میں
ایک بازار ہے یہ قصبے کا
جس میں دونوں طرف ہیں دوکانیں
جن میں دنیا جہاں کی چیزیں ہیں
میرے ہاتھوں میں خاکی کاغذ ہے
جس کے اندر ہے برفی کھوئے کی
میرے بابا نے لے کے دی تھی جو
جس کی خوشبو ابھی ہے نتھنوں میں
جس کی لذت ابھی زباں پر ہے
ایک نغمہ فضا میں گونج رہا
گانے والے ہیں جس کے مہدی حسن
بول جس کے مری سماعت میں
گاہے گاہے سنائی دیتے ہیں
(نعمتوں کو جو بانٹتا تھا خدا ۔۔۔۔ )
میرے بابا، وہ نغمہ اور برفی
میرے بیتے دنوں کا قصہ ہیں
میرے جیتے دنوں کا قصہ ہیں

Baba Aur Barfi

Jab bhi barfi mile hai khane ko
Zaiqon ke safar pe jaaoon nikal
Main hoon chhota sa, aur bhai mera
Donon baithe hain ek qasbe mein
Ek bazaar hai yeh qasbe ka
Jis mein donon taraf hain dukanein
Jin mein duniya jahan ki cheezein hain
Mere hathon mein khaki kaghaz hai
Jis ke andar hai barfi khoye ki
Mere baba ne le ke di thi jo
Jis ki khushboo abhi hai nathnon mein
Jis ki lazzat abhi zaban par hai
Ek naghma fiza mein goonj raha
Gaane wale hain jis ke Mehdi Hassan
Bol jis ke meri sama'at mein
Gaahe gaahe sunaayi dete hain
(Nematon ko jo baantta thha Khuda .... )
Mere baba, woh naghma aur barfi
Mere beete dinon ka qissa hain
Mere jeete dinon ka qissa hain