ہر قدم مرحلۂ دار و صلیب آج بھی ہے
ہر قدم مرحلۂ دار و صلیب آج بھی ہے جو کبھی تھا وہی انساں کا نصیب آج بھی ہے جگمگاتے ہیں افق پر یہ ستارے لیکن راستہ منزل ہستی کا مہیب آج بھی ہے سر مقتل جنہیں جانا تھا وہ جا بھی پہنچے سر منبر کوئی محتاط خطیب آج بھی ہے اہل دانش نے جسے امر مسلم مانا اہل دل کے لیے وہ بات عجیب آج بھی ہے یہ تری یاد ہے یا میری اذیت کوشی ایک نشتر سا رگ جاں کے قریب آج بھی ہے کون جانے یہ ترا شاعر آشفتہ مزاج کتنے مغرور خداؤں کا رقیب آج بھی ہے
English rendering
Har qadam marhala-e-dār o salīb āj bhī hai Jo kabhī thā vahī insāñ kā nasīb āj bhī hai Jagmugāte hain ufuq par ye sitāre lekin Rāstā manzil-e-hastī kā mahīb āj bhī hai Sar-e-maqtal jinhen jānā thā vo jā bhī pahuñche Sar-e-mimbar koī mohtāt khaṭīb āj bhī hai Ehl-e-dānish ne jise amr-e-musallam mānā Ehl-e-dil ke liye vo baat ajīb āj bhī hai Ye tirī yaad hai yā merī aziyyat-koshī Ek nishtar sā rag-e-jāñ ke qarīb āj bhī hai Kaun jāne ye tirā shā'ir-e-āshufta-mizāj Kitne maghrūr ḳhudāoñ kā raqīb āj bhī hai