اس طرف سے گزرے تھے قافلے بہاروں کے
اس طرف سے گزرے تھے قافلے بہاروں کے آج تک سلگتے ہیں زخم رہ گزاروں کے خلوتوں کے شیدائی خلوتوں میں کھلتے ہیں ہم سے پوچھ کر دیکھو راز پردہ داروں کے گیسوؤں کی چھاؤں میں دل نواز چہرے ہیں یا حسیں دھندلکوں میں پھول ہیں بہاروں کے پہلے ہنس کے ملتے ہیں پھر نظر چراتے ہیں آشنا صفت ہیں لوگ اجنبی دیاروں کے تم نے صرف چاہا ہے ہم نے چھو کے دیکھے ہیں پیرہن گھٹاؤں کے جسم برق پاروں کے شغل مے پرستی گو جشن نامرادی تھا یوں بھی کٹ گئے کچھ دن تیرے سوگواروں کے
English rendering
Is taraf se guzre the qāfile bahāroñ ke Āj tak sulagte hain zaḳhm rahguzāroñ ke K͟halwatoñ ke shaidā'ī k͟halwatoñ mein khilte hain Ham se pūchh kar dekho rāz-e-pardah-dāroñ ke Gīsuoñ kī chhāoñ mein dil-navāz chehre hain Yā hasīñ dhundlakoñ mein phūl hain bahāroñ ke Pahle hans ke milte hain phir nazar churāte hain Āshnā sifat hain log ajnabī diyāroñ ke Tum ne sirf chāhā hai ham ne chhū ke dekhe hain Pīrahan ghaṭāoñ ke jism barq-pāroñ ke Shughl-e-mai-parastī go jashn-e-nāmurādī thā Yūñ bhī kaṭ ga'e kuchh din tere sogwāroñ ke