ملتی ہے زندگی میں محبت کبھی کبھی
ملتی ہے زندگی میں محبت کبھی کبھی ہوتی ہے دلبروں کی عنایت کبھی کبھی شرما کے منہ نہ پھیر نظر کے سوال پر لاتی ہے ایسے موڑ پہ قسمت کبھی کبھی کھلتے نہیں ہیں روز دریچے بہار کے آتی ہے جان من یہ قیامت کبھی کبھی تنہا نہ کٹ سکیں گے جوانی کے راستے پیش آئے گی کسی کی ضرورت کبھی کبھی پھر کھو نہ جائیں ہم کہیں دنیا کی بھیڑ میں ملتی ہے پاس آنے کی مہلت کبھی کبھی
English rendering
Miltī hai zindagī mein mohabbat kabhī kabhī Hotī hai dilbaroñ kī ināyat kabhī kabhī Sharmā ke muñh na pher nazar ke savāl par Lātī hai aise moṛ pe qismat kabhī kabhī Khulte nahīn hain roz darīche bahār ke Ātī hai jān-e-man ye qayāmat kabhī kabhī Tanhā na kaṭ sakeñge javānī ke rāste Pesh ā'egī kisī kī zarūrat kabhī kabhī Phir kho na jā'eñ ham kahīn dunyā kī bhīṛ mein Miltī hai pās āne kī mohlat kabhī kabhī