محبت ترک کی میں نے گریباں سی لیا میں نے
محبت ترک کی میں نے گریباں سی لیا میں نے زمانے اب تو خوش ہو زہر یہ بھی پی لیا میں نے ابھی زندہ ہوں لیکن سوچتا رہتا ہوں خلوت میں کہ اب تک کس تمنا کے سہارے جی لیا میں نے انہیں اپنا نہیں سکتا مگر اتنا بھی کیا کم ہے کہ کچھ مدت حسیں خوابوں میں کھو کر جی لیا میں نے بس اب تو دامن دل چھوڑ دو بے کار امیدو بہت دکھ سہہ لیے میں نے بہت دن جی لیا میں نے
English rendering
Mohabbat tark kī maiñ ne garībāñ sī liyā maiñ ne Zamāne ab to khush ho zehr ye bhī pī liyā maiñ ne Abhī zindah hūñ lekin sochtā rahtā hūñ khilvat mein Ke ab tak kis tamannā ke sahāre jī liyā maiñ ne Inheñ apnā nahīn saktā magar itnā bhī kyā kam hai Ke kuchh muddat hasīñ khvāboñ mein kho kar jī liyā maiñ ne Bas ab to dāman-e-dil chhoṛ do bekār ummīdo Bahut dukh sah liye maiñ ne bahut din jī liyā maiñ ne