صدیوں سے انسان یہ سنتا آیا ہے
صدیوں سے انسان یہ سنتا آیا ہے دکھ کی دھوپ کے آگے سکھ کا سایا ہے ہم کو ان سستی خوشیوں کا لوبھ نہ دو ہم نے سوچ سمجھ کر غم اپنایا ہے جھوٹ تو قاتل ٹھہرا اس کا کیا رونا سچ نے بھی انساں کا خوں بہایا ہے پیدائش کے دن سے موت کی زد میں ہیں اس مقتل میں کون ہمیں لے آیا ہے اول اول جس دل نے برباد کیا آخر آخر وہ دل ہی کام آیا ہے اتنے دن احسان کیا دیوانوں پر جتنے دن لوگوں نے ساتھ نبھایا ہے
English rendering
Sadiyoñ se insān ye suntā āyā hai Dukh kī dhūp ke āge sukh kā sāyā hai Ham ko un sastī khushiyoñ kā lobh na do Ham ne soch samajh kar gham apnāyā hai Jhūṭ to qātil ṭhairā us kā kyā ronā Sach ne bhī insān kā khūñ bahāyā hai Paidā'ish ke din se maut kī zad mein hain Is maqtal mein kaun hameñ le āyā hai Awwal awwal jis dil ne barbād kiyā Ākhir ākhir vo dil hī kaam āyā hai Itne din ehsān kiyā dīvānoñ par Jitne din logoñ ne sāth nibhāyā hai