سزا کا حال سنائیں جزا کی بات کریں
سزا کا حال سنائیں جزا کی بات کریں خدا ملا ہو جنہیں وہ خدا کی بات کریں انہیں پتہ بھی چلے اور وہ خفا بھی نہ ہوں اس احتیاط سے کیا مدعا کی بات کریں ہمارے عہد کی تہذیب میں قبا ہی نہیں اگر قبا ہو تو بند قبا کی بات کریں ہر ایک دور کا مذہب نیا خدا لایا کریں تو ہم بھی مگر کس خدا کی بات کریں وفا شعار کئی ہیں کوئی حسیں بھی تو ہو چلو پھر آج اسی بے وفا کی بات کریں
English rendering
Sazā kā hāl sunā'eñ jazā kī baat kareñ Khuda milā ho jinheñ vo khuda kī baat kareñ Inheñ pata bhī chale aur vo khafā bhī na hoñ Is ehtiyāt se kyā mudda'ā kī baat kareñ Hamāre ahd kī tahzīb mein qabā hī nahīn Agar qabā ho to band-e-qabā kī baat kareñ Har ek daur kā mazhab nayā khuda lāyā Kareñ to ham bhī magar kis khuda kī baat kareñ Wafā shi'ār kaī hain koī hasīñ bhī to ho Chalo phir āj usī bewafā kī baat kareñ