ابھی تو عشق میں ایسا بھی حال ہونا ہے
ابھی تو عشق میں ایسا بھی حال ہونا ہے کہ اشک روکنا تم سے محال ہونا ہے ہر ایک لب پہ ہے میری وفا کے افسانے ترے ستم کو ابھی لا زوال ہونا ہے بجا کہ خواب ہیں لیکن بہار کی رت میں یہ طے ہے اب کے ہمیں بھی نہال ہونا ہے تمہیں خبر ہی نہیں تم تو لوٹ جاؤ گے تمہارے ہجر میں لمحہ بھی سال ہونا ہے ہماری روح پہ جب بھی عذاب اتریں گے تمہاری یاد کو اس دل کو ڈھال ہونا ہے کبھی تو روئے گا وہ بھی کسی کی بانہوں میں کبھی تو اس کی ہنسی کو زوال ہونا ہے ملیں گی ہم کو بھی اپنے نصیب کی خوشیاں بس انتظار ہے کب یہ کمال ہونا ہے ہر ایک شخص چلے گا ہماری راہوں پر محبتوں میں ہمیں وہ مثال ہونا ہے زمانہ جس کے خم و پیچ میں الجھ جائے ہماری ذات کو ایسا سوال ہونا ہے وصیؔ یقین ہے مجھ کو وہ لوٹ آئے گا اسے بھی اپنے کئے کا ملال ہونا ہے
English rendering
Abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai Ke ashk rokna tum se muhal hona hai Har ek lab pe hai meri wafa ke afsane Tere sitam ko abhi la-zawal hona hai Baja ke khwab hain lekin bahar ki rut mein Yeh tay hai ab ke hamein bhi nihaal hona hai Tumhein khabar hi nahin tum to laut jaoge Tumhare hijr mein lamha bhi saal hona hai Humari rooh pe jab bhi azab utrenge Tumhari yaad ko is dil ko dhaal hona hai Kabhi to royega woh bhi kisi ki baanhon mein Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai Milenge hum ko bhi apne naseeb ki khushiyan Bas intezar hai kab yeh kamaal hona hai Har ek shakhs chalega humari raahon par Mohabbaton mein hamein woh misaal hona hai Zamana jis ke kham-o-pech mein ulajh jaaye Humari zaat ko aisa sawal hona hai Wasi, yaqeen hai mujh ko woh laut aayega Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai