احمد فراز

احمد فراز

شاعر — Ahmad Faraz

تعارف شاعری

برسوں کے بعد ديکھا اک شخص دلرُبا سا

برسوں کے بعد ديکھا اک شخص دلرُبا سا اب ذہن ميں نہيں ہے پر نام تھا بھلا سا ابرو کھنچے کھنچے سے آنکھيں جھکی جھکی سی باتيں رکی رکی سی لہجہ تھکا تھکا سا الفاظ تھے کہ جگنو آواز کے سفر ميں تھے بن جائے جنگلوں ميں جس طرح راستہ سا خوابوں ميں خواب اُسکے يادوں ميں ياد اُسکی نيندوں ميں گھل گيا ہو جيسے رَتجگا سا پہلے بھی لوگ آئے کتنے ہی زندگی ميں وہ ہر طرح سے ليکن اوروں سے تھا جدا سا اگلی محبتوں نے وہ نا مرادياں ديں تازہ رفاقتوں سے دل تھا ڈرا ڈرا سا کچھ يہ کہ مدتوں سے ہم بھی نہيں تھے روئے کچھ زہر ميں بُجھا تھا احباب کا دلاسا پھر يوں ہوا کے ساون آنکھوں ميں آ بسے تھے پھر يوں ہوا کہ جيسے دل بھی تھا آبلہ سا اب سچ کہيں تو يارو ہم کو خبر نہيں تھی بن جائے گا قيامت اک واقع ذرا سا تيور تھے بے رُخی کے انداز دوستی کے وہ اجنبی تھا ليکن لگتا تھا آشنا سا ہم دشت تھے کہ دريا ہم زہر تھے کہ امرت ناحق تھا زعم ہم کو جب وہ نہيں تھا پياسا ہم نے بھی اُس کو ديکھا کل شام اتفاقا اپنا بھی حال ہے اب لوگو فراز کا سا

— احمد فراز

English rendering

Barsoñ ke ba'ad dekhā ik shakhs dilrubā sā Ab zehn mein nahīñ hai par nām thā bhalā sā Abroo khinche khinche se āñkheñ jhukī jhukī sī Bāteñ rukī rukī sī lahja thakā thakā sā Alfāz the ki jugnū āwāz ke safar mein the Ban jāe jangalooñ mein jis tarah rāsta sā Khwāboñ mein khwāb uske yādoñ mein yaad uskī Nīndoñ mein ghul gayā ho jaise ratjagā sā Pehle bhī log āye kitne hī zindagī mein Vah har tarah se lekin auroñ se thā judā sā Aglī muhabbatoñ ne vah nā-murādiyāñ dīñ Tāza rafāqatoñ se dil thā ḍarā ḍarā sā Kuchh ye ki mudattoñ se ham bhī nahīñ the roye Kuchh zehr mein bujhā thā ahbāb kā dilāsa Phir yūñ huā ke sāvan āñkhoñ mein ā base the Phir yūñ huā ki jaise dil bhī thā ābla sā Ab sach kaheñ to yāro ham ko khabar nahīñ thī Ban jāe gā qayāmat ik wāqe'a zarā sā Tewar the be-ruḳhī ke andāz dostī ke Vah ajnabī thā lekin lagtā thā āshnā sā Ham dasht the ki daryā ham zehr the ki amrit Nā-haq thā za'm ham ko jab vah nahīñ thā pyāsā Ham ne bhī us ko dekhā kal shām ittifāqan Apnā bhī hāl hai ab logo Farāz kā sā

‹ کلام کی فہرست پر واپس