ملال عمر گریزاں کا کرتے رہتے ہیں
ملال عمر گریزاں کا کرتے رہتے ہیں یہ لوگ زندہ نہیں روز مرتے رہتے ہیں ہوس کا زور کسی طور کم نہیں ہوتا قناعتوں کے گھروندے بکھرتے رہتے ہیں دیے بجھانا گرانا گلوں کو شاخوں سے ہوا کے ہاتھ سدا کام کرتے رہتے ہیں یہ دل گئے ہوئے لوگوں کی یاد سے روشن اس آئنے میں بہت عکس ابھرتے رہتے ہیں کسی تسلسل زنجیر کے سوا کیا ہیں جو لوگ روز نظر سے گزرتے رہتے ہیں گلی میں گھوم رہے ہیں فراق کے آسیب مکان بند کیے ہم بھی ڈرتے رہتے ہیں کسی بھی خواب کی تکمیل غیر ممکن ہے جو کام ہو نہیں سکتا وہ کرتے رہتے ہیں
English rendering
Malal umar gurezan ka karte rehte hain Yeh log zinda nahin roz marte rehte hain Hawas ka zor kisi taur kam nahin hota Qanaaton ke gharonde bikharte rehte hain Diye bujhana girana gulon ko shaakhon se Hawa ke haath sada kaam karte rehte hain Yeh dil gaye hue logon ki yaad se raushan Is aaine mein bahut aks ubharte rehte hain Kisi tasalsul zanjeer ke siwa kya hain Jo log roz nazar se guzarte rehte hain Gali mein ghoom rahe hain firaq ke aaseb Makaan band kiye hum bhi darte rehte hain Kisi bhi khwab ki takmeel ghair mumkin hai Jo kaam ho nahin sakta woh karte rehte hain