پوچھو اگر تو کرتے ہیں انکار سب کے سب
پوچھو اگر تو کرتے ہیں انکار سب کے سب سچ یہ کہ ہیں حیات سے بیزار سب کے سب اپنی خبر کسی کو نہیں پھر بھی جانے کیوں پڑھتے ہیں روز شہر میں اخبار سب کے سب تھا ایک میں جو شرط وفا توڑتا رہا حالانکہ با وفا تھے مرے یار سب کے سب سوچو تو نفرتوں کا ذخیرہ ہے ایک دل کرتے ہیں یوں تو پیار کا اظہار سب کے سب زنداں کوئی قریب نہیں اور نہ رقص گاہ سنتے ہیں اک عجیب سی جھنکار سب کے سب میدان جنگ آنے سے پہلے پلٹ گئے نکلے تھے لے کے ہاتھ میں تلوار سب کے سب ذہنوں میں کھولتا تھا جو لاوا وہ جم گیا مفلوج ہو کے رہ گئے فن کار سب کے سب
English rendering
Pūchho agar to karte haiñ inkār sab ke sab Sach ye ki haiñ hayāt se bezār sab ke sab Apnī khabar kisī ko nahīñ phir bhī jaane kyuuñ PaḌhte haiñ roz shahar meñ akhbār sab ke sab Thā ek maiñ jo shart-e-vafā toḌtā rahā Hālāñke bā-vafā the mere yār sab ke sab Socho to nafratoñ kā zaḳhīra hai ek dil Karte haiñ yūñ to pyār kā izhār sab ke sab Zindāñ koī qarīb nahīñ aur na raqs-gāh Sunte haiñ ik ajīb sī jhankār sab ke sab Maidān-e-jañg aane se pahle palaṭ ga.e Nikle the le ke hāth meñ talvār sab ke sab Zehnoñ meñ khaultā thā jo lāvā vo jam gayā Maflūj ho ke rah ga.e fan-kār sab ke sab