سیل گریہ کا سینے سے رشتہ بہت
سیل گریہ کا سینے سے رشتہ بہت یعنی ہیں اس خرابے میں دریا بہت میں نے اس نام سے شام رنگین کی میں نے اس کے حوالے سے سوچا بہت دیکھنے کے لیے سارا عالم بھی کم چاہنے کے لیے ایک چہرا بہت اس سے آگے تو بس خواب ہی خواب تھے میں نے اس کو مجھے اس نے دیکھا بہت میں بھی الجھا ہوں منظر کے نیرنگ سے میرے پیروں سے لپٹی ہے دنیا بہت رفتگاں کے قدم جیسے آہو کا رم جانے والوں کو رستوں نے روکا بہت جنگجو معرکوں میں ہوئے سرخ رو بستیاں بین کرتی ہیں تنہا بہت
English rendering
Sail-e-girya kā sīne se rishta bahut Ya'nī haiñ is ḳharābe meñ dariyā bahut Maiñ ne us nām se shām rañgīn kī Maiñ ne us ke havāle se sochā bahut Dekhne ke liye sārā ālam bhī kam Chāhne ke liye ek chehrā bahut Us se aage to bas ḳhvāb hī ḳhvāb the Maiñ ne us ko mujhe us ne dekhā bahut Maiñ bhī uljhā huuñ manzar ke nairañg se Mere pairon se lipṭī hai duniyā bahut Raftagāñ ke qadam jaise āhū kā ram Jaane vāloñ ko rastoñ ne rokā bahut Jaṅgjū ma'arkon meñ hue surḳh-rū Bastiyāñ bain kartī hain tanhā bahut