وہ لوگ بھی کیسے لوگ ہیں جو کوئی بات فضول نہیں کرتے
وہ لوگ بھی کیسے لوگ ہیں جو کوئی بات فضول نہیں کرتے یہ سارے قصے جھوٹے ہیں ہم ان کو قبول نہیں کرتے تمہیں علم نہیں ہے یقین کرو میں قریب سے جانتا ہوں ان کو کچھ سوداگر ایسے بھی ہیں جو قرض وصول نہیں کرتے میں پتھر لے کر بیٹھا ہوں اور اس بستی کے دانا اب کیوں کار شیشہ گری کر کے مجھ کو مشغول نہیں کرتے کسی رن میں ساتھ حسین کا دیں کس نہر سے پانی لے آئیں اس شہر کے سارے نوحہ گر کوئی ایسی بھول نہیں کرتے مرے نام کے حرف چمکتے ہیں لیکن یہ چمک ہے شعلوں کی میں ایک ایسی سچائی ہوں جسے لوگ قبول نہیں کرتے مجھے بھول کے نادم مت ہونا اے اگلی نسلوں کے بچو ہاں اپنے بزرگوں کا ماتم کبھی تازہ پھول نہیں کرتے
English rendering
Vo log bhī kaise log haiñ jo koī baat fazūl nahīñ karte Ye saare qisse jhūṭe haiñ ham un ko qabūl nahīñ karte Tumheñ ilm nahīñ hai yaqīn karo maiñ qarīb se jāntā huuñ un ko Kuchh saudāgar aise bhī haiñ jo qarẓ vasūl nahīñ karte Maiñ patthar le kar baiṭhā huuñ aur is bastī ke dānā ab Kyuuñ kār-e-shīsha-garī kar ke mujh ko mashġūl nahīñ karte Kisī ran meñ sāth husain kā deñ kis nahar se paanī le ā.eñ Is shahar ke saare nauha-gar koī aisī bhūl nahīñ karte Mere nām ke harf chamakte haiñ lekin ye chamak hai sho'loñ kī Maiñ ek aisī sachchāī huuñ jise log qabūl nahīñ karte Mujhe bhūl ke nādim mat honā ai aglī nasloñ ke bachcho Hāñ apne buzurgon kā mātam kabhī tāza phūl nahīñ karte