البیلی کامنی کہ نشیلی گھڑی ہے شام
البیلی کامنی کہ نشیلی گھڑی ہے شام سر مستیوں کی سیج پہ ننگی پڑی ہے شام بے کل کیے ہے رین کے رسیا کا انتظار غمگیں ہے حسن شوخ کہ حیراں کھڑی ہے شام چمکا دیا ہے اس کے شراروں نے فکر کو احساس عشق و حسن کی اک پھلجڑی ہے شام تاباں ہے تیرا چہرہ کہ ہے جلوۂ سحر رخشاں ہے تیری مانگ کہ تاروں جڑی ہے شام روٹھے ہوئے دلوں کو بھی اس نے منا لیا من موہنی ہے کامنی چنچل بڑی ہے شام جانے کب آئے آج سا ہنگام دل نواز یارو اٹھاؤ جام گھڑی دو گھڑی ہے شام
English rendering
Albailī kāmnī ke nashīlī ghaṛī hai shām Sar-mastiyoñ kī sej pe nangī paṛī hai shām Be-kal kiye hai rain ke rasiyā kā intizār Ghamgīn hai husn-e-shokh ke hairāñ khaṛī hai shām Chamkā diyā hai us ke sharāroñ ne fikr ko Ehsās-e-ishq-o-husn kī ek phuljhaṛī hai shām Tābāñ hai terā chehrah ke hai jalvah-e-sahar Rakhshāñ hai terī māñg ke tāroñ jaṛī hai shām Rūṭhe hu'e diloñ ko bhī us ne manā liyā Man-mohanī hai kāmnī chanchal baṛī hai shām Jaane kab āye āj sā hangām-e-dil-navāz Yāro uṭhā'o jām ghaṛī do ghaṛī hai shām