اپنے پرتو ہی میں خالق نے بنایا ہے مجھے
اپنے پرتو ہی میں خالق نے بنایا ہے مجھے زعم دارائی اسی وجہ سے آیا ہے مجھے کس کا غم ہوں کہ مشیت نے منایا ہے مجھے کس کا دل ہوں کہ دو عالم سے لگایا ہے مجھے محو حیرت ہے تری شعبدہ بازی پر دل یہ بنایا ہے کہ اس طور مٹایا ہے مجھے یاس اور آس کا اک سوز بھرا نغمہ ہوں ساز احساس پہ ارمانوں نے گایا ہے مجھے چند لمحات کی سطحی سی مسرت کے لیے لال انگاروں پہ خواہش نے نچایا ہے مجھے حسرت و رنج ہو یا عشرت و سر مستی ہو ایک ہی رنگ میں احباب نے پایا ہے مجھے دم تو لینے دو ذرا ٹھہرو بھیانک سپنو تھپکیاں دے کے امیدوں نے سلایا ہے مجھے صاحبو کوئے ملامت میں ندامت کیسی شوق رسوائی یہاں کھینچ کے لایا ہے مجھے دل کہے میں ہوں فسردہ مرا ہنسنا معلوم وہ خرابہ ہوں کہ حسرت نے بسایا ہے مجھے روز و شب پھرتا ہوں آشفتہ سر و آوارہ اس قدر تیری محبت نے ستایا ہے مجھے آنکھیں چنچل ہیں مگر من ہے مرا بیراگی کرشن موہنؔ یہ ملن موہ کی مایا ہے مجھے
English rendering
Apne partau hī meñ Khāliq ne banāyā hai mujhe Za'm-e-dārā'ī isī vaj'h se āyā hai mujhe Kis kā gham hooñ ke mashiyat ne manāyā hai mujhe Kis kā dil hooñ ke do ālam se lagāyā hai mujhe Mahv-e-hairat hai terī shobadah-bāzī par dil Yeh banāyā hai ke is taur miṭāyā hai mujhe Yaas aur aas kā ek soz bharā naghma hooñ Sāz-e-ehsās pe armānoñ ne gāyā hai mujhe Chand lamhāt kī sathī sī masarrat ke li'e Lāl angāroñ pe khwāhish ne nachāyā hai mujhe Hasrat-o-ranj ho yā ishrat-o-sar-mastī ho Ek hī rang meñ ahbāb ne pāyā hai mujhe Dam to lene do zarā ṭhahro bhai'yānak sapno Thapkiyāñ de ke ummīdoñ ne sulāyā hai mujhe Sāhibo kū-e-malāmat meñ nadāmat kaisī Shauq-e-rusvā'ī yahāñ kheñch ke lāyā hai mujhe Dil kahe maiñ hooñ fasurdah mirā hañsnā ma'loom Vo kharābah hooñ ke hasrat ne basāyā hai mujhe Roz-o-shab phirtā hooñ āshuftah-sar-o-āvārah Is qadar terī mohabbat ne satāyā hai mujhe Āñkheñ chanchal haiñ magar man hai mirā bairāgī Krishan Mohan yeh milan moh kī māyā hai mujhe