کرشن موہن

کرشن موہن

شاعر — Krishna Mohan

تعارف شاعری

نالۂ صبح کے بغیر گریۂ شام کے بغیر

نالۂ صبح کے بغیر گریۂ شام کے بغیر ہوتا نہیں وصال یار سوز دوام کے بغیر تو نے اگر کیا نہ یاد شق رہے گا نامراد کیسے کٹے گی زندگی تیرے پیام کے بغیر ہے یہ مرا ہی حوصلہ کرتا ہوں روز سامنا گردش صبح و شام کا گردش جام کے بغیر عرصہ ہوا وہ فتنہ گر آیا نہیں کبھی ادھر سونی پڑی ہے رہگزر حسن خرام کے بغیر کیف نشاط دم بدم چومتا ہے مرے قدم چلتا نہیں ہوں ایک گام آپ کے نام کے بغیر جب بھی ملے وہ ناگہاں جھوم اٹھے ہیں قلب و جاں ملنے میں لطف ہے اگر ملنا ہو کام کے بغیر میرے جنوں کے فیض سے گرمی شوق آ گئی سرد تھی محفل طرب میرے کلام کے بغیر

— کرشن موہن

English rendering

Nālah sub'h ke baghair giryah shām ke baghair Hotā nahīñ visāl-e-yār soz-e-davām ke baghair Tū ne agar kiyā na yaad shaq rahegā nāmurād Kaise kaṭegī zindagī tere payām ke baghair Hai yeh mirā hī hausla kartā hooñ roz sāmnā Gardish-e-sub'h-o-shām kā gardish-e-jām ke baghair Arsah huā vo fitnah-gar āyā nahīñ kabhī idhar Soonī paṛī hai rahguzar husn-e-kharām ke baghair Kaif-e-nashāṭ dam ba dam choomtā hai mire qadam Chaltā nahīñ hooñ ek gām āp ke nām ke baghair Jab bhī mile vo nāgahāñ jhoom uṭhe haiñ qalb-o-jāñ Milne meñ lutf hai agar milnā ho kām ke baghair Mere junūñ ke faiz se garmi-e-shauq ā ga'ī Sard thī mahfil-e-tarab mere kalām ke baghair

‹ کلام کی فہرست پر واپس