عمر بڑھتی جا رہی ہے زیست گھٹتی جائے ہے
عمر بڑھتی جا رہی ہے زیست گھٹتی جائے ہے جسم کی خوشبو کی خواہش دور ہٹتی جائے ہے سوچ میں بھی اب نہیں پہلا سا تیور اور لوچ شوق کی دیوار گرد غم سے اٹھتی جائے ہے بے مزہ ہونے لگی ہے زندگی بعد شباب رات ابھی باقی ہے لیکن نیند اچٹتی جائے ہے آ رہی ہے سکھ ملن کی چمپئی اجلی سحر دکھ کی یہ بے چین اندھیری رین کٹتی جائے ہے یاس کے حساس لمحوں میں بھی ہے کتنا سرور شاہدہ امید کی مجھ سے لپٹتی جائے ہے کام کی افراط میں دفتر کے ہنگاموں میں بھی تیری یاد آئے توجہ میری بٹتی جائے ہے ہے بدن چور اور کومل کس قدر چت چور شام جیسے شرمیلی دلہن خود میں سمٹتی جائے ہے ہے وہ چنچل کامنی محبوب سارے شہر کو دیکھ کر جس کو نظر میری پلٹتی جائے ہے باب حسرت داستان شوق تصویر امید لمحہ لمحہ زندگی اوراق الٹتی جائے ہے جاگ اٹھی ہے جیو جیوتی آس اور وشواس کی کرشن موہنؔ کالما دبدھا کی چھٹتی جائے ہے
English rendering
Umar baṛhti jā rahī hai zeest ghaṭtī jae hai Jism kī khushboo kī khwahish door haṭtī jae hai Soch meñ bhī ab nahīñ pehlā sā tevar aur loch Shauq kī dīvār gard-e-gham se uṭhtī jae hai Be mazah hone lagī hai zindagī ba'd-e-shabāb Rāt abhī bāqī hai lekin neend uchaṭtī jae hai Aa rahī hai sukh milan kī champī ujlī sahar Dukh kī yeh bechain andherī rain kaṭtī jae hai Yaas ke hassās lamhoñ meñ bhī hai kitnā surūr Shahida ummeed kī mujh se lipaṭtī jae hai Kām kī ifrāt meñ daftar ke hangāmoñ meñ bhī Terī yaad āe tavajjuh merī baṭtī jae hai Hai badan choor aur komal kis qadar chit-choor shām Jaise sharmīlī dulhan khud meñ simaṭtī jae hai Hai vo chanchal kāmnī mahboob sāre shahr ko Dekh kar jis ko nazar merī palaṭtī jae hai Baab-e-hasrat dāstān-e-shauq tasveer-e-ummeed Lamha lamha zindagī aurāq ulaṭtī jae hai Jaag uṭhī hai jiyo-jyotī aas aur vishvās kī Krishan Mohan kālmādī buddhi kī chhuṭtī jae hai