کرشن موہن

کرشن موہن

شاعر — Krishna Mohan

تعارف شاعری

زندگی کے آخری لمحے خوشی سے بھر گیا

زندگی کے آخری لمحے خوشی سے بھر گیا ایک دن اتنا ہنسا وہ ہنستے ہنستے مر گیا بجھ گیا احساس طاری ہے سکوت بے حسی درد کا دفتر گیا سامان شور و شر گیا شخص معمولی مرا جو مال وافر چھوڑ کر مرتے مرتے تہمتیں چند اپنے ذمے دھر گیا اس قدر سنجیدہ تھا وہ دفعتاً بوڑھا ہوا اور پھر اک دوپہر بیوی کو بیوہ کر گیا دور درشن پر طرب آگیں تماشا دیکھ کر خوش ہوا وہ اس قدر مارے خوشی کے مر گیا در حقیقت موت کا مطلب تو ہے نقل مکاں جس طرح کمرے کے اندر سے کوئی باہر گیا کرشن موہنؔ یہ بھی ہے کیسا اکیلا پن کہ لوگ موت سے ڈرتے ہیں میں تو زندگی سے ڈر گیا

— کرشن موہن

English rendering

Zindagī ke ākhirī lamhe khushī se bhar gayā Ek din itnā hañsā vo hañste hañste mar gayā Bujh gayā ehsās tārī hai sukūt-e-be-hasī Dard kā daftar gayā sāmān-e-shor-o-shar gayā Shakhs ma'mūlī mirā jo māl-e-wāfir chhoṛ kar Marte marte tuhmateñ chand apne zimme dhar gayā Is qadar sanjīdah thā vo daf'atan buṛhā huā Aur phir ek dopahar bīvī ko beva kar gayā Door darshan par tarab-angez tamāshā dekh kar Khush huā vo is qadar māre khushī ke mar gayā Dar haqīqat maut kā matlab to hai naql-e-makāñ Jis tarah kamre ke andar se koī bāhar gayā Krishan Mohan yeh bhī hai kaisā akelāpan ke log Maut se darte haiñ maiñ to zindagī se dar gayā

‹ کلام کی فہرست پر واپس