غنچۂ ناشگفتہ کو دور سے مت دکھا کہ یوں
غنچۂ ناشگفتہ کو دور سے مت دکھا کہ یوں بوسہ کو پوچھتا ہوں میں منہ سے مجھے بتا کہ یوں پرسش طرز دلبری کیجیے کیا کہ بن کہے اس کے ہر ایک اشارہ سے نکلے ہے یہ ادا کہ یوں رات کے وقت مے پیے ساتھ رقیب کو لیے آئے وہ یاں خدا کرے پر نہ کرے خدا کہ یوں غیر سے رات کیا بنی یہ جو کہا تو دیکھیے سامنے آن بیٹھنا اور یہ دیکھنا کہ یوں بزم میں اس کے روبرو کیوں نہ خموش بیٹھیے اس کی تو خامشی میں بھی ہے یہی مدعا کہ یوں میں نے کہا کہ بزم ناز چاہیے غیر سے تہی سن کے ستم ظریف نے مجھ کو اٹھا دیا کہ یوں مجھ سے کہا جو یار نے جاتے ہیں ہوش کس طرح دیکھ کے میری بے خودی چلنے لگی ہوا کہ یوں کب مجھے کوئے یار میں رہنے کی وضع یاد تھی آئنہ دار بن گئی حیرت نقش پا کہ یوں گر ترے دل میں ہو خیال وصل میں شوق کا زوال موج محیط آب میں مارے ہے دست و پا کہ یوں جو یہ کہے کہ ریختہ کیونکے ہو رشک فارسی گفتۂ غالبؔ ایک بار پڑھ کے اسے سنا کہ یوں
English rendering
Ghun_cha-e nā-shigufta ko duur se mat dikhā ke yuuñ Bosa ko pūchhtā huun maiñ muñh se mujhe batā ke yuuñ Pursish-e tarz-e dilbarī kījiye kyā ke bin kahe Us ke har ek ishāra se nikle hai ye adā ke yuuñ Rāt ke vaqt mai piye saath raqīb ko liye Aaye vo yahāñ KHudā kare par na kare KHudā ke yuuñ Gair se raat kyā banī ye jo kahā to dekhiye Sāmne ān baiṭhnā aur ye dekhnā ke yuuñ Bazm mein us ke rū-ba-rū kyuuñ na KHamosh baiṭhiye Us kī to KHāmoshī mein bhī hai yahī mudda_ā ke yuuñ Maine kahā ke bazm-e nāz chāhiye gair se tahī Sun ke sitam-zarīf ne mujh ko uṭhā diyā ke yuuñ Mujh se kahā jo yār ne jaate hain hosh kis tarah Dekh ke merī beKHudī chalne lagī havā ke yuuñ Kab mujhe kū-e yār mein rahne kī vaz'a yaad thī A_īna-dār ban ga_ī hairat-e naqsh-e pā ke yuuñ Gar tere dil mein ho KHayāl-e vasl mein shauq kā zavāl Mauj-e muhīt-e āb mein māre hai dast-o-pā ke yuuñ Jo ye kahe ke reKHtā kyuuñ-ke ho rashk-e Fārsī Gufta-e Ghalibؔ ek bār paṛh ke use sunā ke yuuñ