گلہ ہے شوق کو دل میں بھی تنگئ جا کا
گلہ ہے شوق کو دل میں بھی تنگئ جا کا گہر میں محو ہوا اضطراب دریا کا یہ جانتا ہوں کہ تو اور پاسخ مکتوب مگر ستم زدہ ہوں ذوق خامہ فرسا کا حنائے پائے خزاں ہے بہار اگر ہے یہی دوام کلفت خاطر ہے عیش دنیا کا غم فراق میں تکلیف سیر باغ نہ دو مجھے دماغ نہیں خندہ ہائے بے جا کا ہنوز محرمی حسن کو ترستا ہوں کرے ہے ہر بن مو کام چشم بینا کا دل اس کو پہلے ہی ناز و ادا سے دے بیٹھے ہمیں دماغ کہاں حسن کے تقاضا کا نہ کہہ کہ گریہ بہ مقدار حسرت دل ہے مری نگاہ میں ہے جمع و خرچ دریا کا فلک کو دیکھ کے کرتا ہوں اس کو یاد اسدؔ جفا میں اس کی ہے انداز کار فرما کا مرا شمول ہر اک دل کے پیچ و تاب میں ہے میں مدعا ہوں تپش نامۂ تمنا کا ملی نہ وسعت جولان یک جنوں ہم کو عدم کو لے گئے دل میں غبار صحرا کا
English rendering
Gila hai shauq ko dil mein bhi tangī-e jā kā Gehra mein mahv huā iztirāb-e daryā kā Yeh jāntā huun ke tuu aur pāsiKH-e maktoob Magar sitam-zada huun zauq-e Khāmah far_sā kā Hinā-e pā-e Khizāñ hai bahār agar hai yahī Dawām-e kulfat-e Khātir hai aish-e duniyā kā Gham-e firāq mein taklīf-e sair-e bāgh na do Mujhe dimāgh nahīñ KHan_da-hā-e bejā kā Hanūz mahramī-e husn ko tarastā huun Kare hai har ban-e mū kām-e chashm-e bīnā kā Dil us ko pehle hī nāz-o-adā se de baiṭhe Hamein dimāgh kahān husn ke taqāzā kā Na kah ke girya bah miqdār-e hasrat-e dil hai Mirī nigāh mein hai jam_a-o-KHarch-e daryā kā Falak ko dekh ke kartā huun us ko yaad Asadؔ Jafā mein us kī hai andāz-e kār-farmā kā Mirā shumūl har ik dil ke pech-o-tāb mein hai Main mudda_ā huun tapish-nāma-e tamannā kā Milī na wus_at-e jaulān-e yak junūn ham ko Adam ko le ga_e dil mein ghubār-e sahrā kā