ہے بسکہ ہر اک ان کے اشارے میں نشاں اور
ہے بسکہ ہر اک ان کے اشارے میں نشاں اور کرتے ہیں محبت تو گزرتا ہے گماں اور یارب وہ نہ سمجھے ہیں نہ سمجھیں گے مری بات دے اور دل ان کو جو نہ دے مجھ کو زباں اور ابرو سے ہے کیا اس نگہ ناز کو پیوند ہے تیر مقرر مگر اس کی ہے کماں اور تم شہر میں ہو تو ہمیں کیا غم جب اٹھیں گے لے آئیں گے بازار سے جا کر دل و جاں اور ہر چند سبک دست ہوئے بت شکنی میں ہم ہیں تو ابھی راہ میں ہے سنگ گراں اور ہے خون جگر جوش میں دل کھول کے روتا ہوتے جو کئی دیدۂ خوں نابہ فشاں اور مرتا ہوں اس آواز پہ ہر چند سر اڑ جائے جلاد کو لیکن وہ کہے جائیں کہ ہاں اور لوگوں کو ہے خورشید جہاں تاب کا دھوکا ہر روز دکھاتا ہوں میں اک داغ نہاں اور لیتا نہ اگر دل تمہیں دیتا کوئی دم چین کرتا جو نہ مرتا کوئی دن آہ و فغاں اور پاتے نہیں جب راہ تو چڑھ جاتے ہیں نالے رکتی ہے مری طبع تو ہوتی ہے رواں اور ہیں اور بھی دنیا میں سخن ور بہت اچھے کہتے ہیں کہ غالبؔ کا ہے انداز بیاں اور
English rendering
Hai bas-ke har ik un ke ishāre mein nishāñ aur Karte hain muhabbat to guzartā hai gumāñ aur Yā-rab vo na samjhe hain na samjheñ ge merī baat De aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur Abrū se hai kyā us nigeh-e nāz ko paivand Hai tīr muqarrar magar us kī hai kamāñ aur Tum shahr mein ho to hameñ kyā ġham jab uṭheñ ge Le ā_eñ ge bāzār se jā kar dil-o-jāñ aur Har chand subuk-dast hue but-shikanī mein Ham hain to abhī rāh mein hai sang-e girāñ aur Hai KHūn-e jigar josh mein dil khol ke rotā Hote jo ka_ī dīda-e KHūñ-nāba-fishāñ aur Martā huun us āvāz pe har chand sar uṛ jaa_e Jallād ko lekin vo kahe jaa_eñ ke haan aur Logoñ ko hai KHurshīd-e jahāñ-tāb kā dhokā Har roz dikhātā huun main ik dāġh-e nihāñ aur Letā na agar dil tumheñ detā ko_ī dam chain Kartā jo na martā ko_ī din āh-o-faġhāñ aur Pāte nahīñ jab rāh to chaṛh jaate hain nāle Ruktī hai merī tab_a to hotī hai ravāñ aur Hain aur bhī duniyā mein suKHan-var bahut achchhe Kahte hain ke Ghalibؔ kā hai andāz-e bayāñ aur