حسن مہ گرچہ بہ ہنگام کمال اچھا ہے
حسن مہ گرچہ بہ ہنگام کمال اچھا ہے اس سے میرا مہہ خورشید جمال اچھا ہے بوسہ دیتے نہیں اور دل پہ ہے ہر لحظہ نگاہ جی میں کہتے ہیں کہ مفت آئے تو مال اچھا ہے اور بازار سے لے آئے اگر ٹوٹ گیا ساغر جم سے مرا جام سفال اچھا ہے بے طلب دیں تو مزا اس میں سوا ملتا ہے وہ گدا جس کو نہ ہو خوئے سوال اچھا ہے ان کے دیکھے سے جو آ جاتی ہے منہ پر رونق وہ سمجھتے ہیں کہ بیمار کا حال اچھا ہے دیکھیے پاتے ہیں عشاق بتوں سے کیا فیض اک برہمن نے کہا ہے کہ یہ سال اچھا ہے ہم سخن تیشہ نے فرہاد کو شیریں سے کیا جس طرح کا کہ کسی میں ہو کمال اچھا ہے قطرہ دریا میں جو مل جاے تو دریا ہو جائے کام اچھا ہے وہ جس کا کہ مآل اچھا ہے خضر سلطاں کو رکھے خالق اکبر سرسبز شاہ کے باغ میں یہ تازہ نہال اچھا ہے ہم کو معلوم ہے جنت کی حقیقت لیکن دل کے خوش رکھنے کو غالبؔ یہ خیال اچھا ہے
English rendering
Husn-e mah garche ba-hangām-e kamāl achchhā hai Is se merā mah-e KHurshīd-e jamāl achchhā hai Bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh Jī mein kahte hain ke muft aaye to māl achchhā hai Aur bāzār se le aaye agar ṭūṭ gayā Sāġhar-e jam se mirā jām-e sifāl achchhā hai Be-talab dein to mazā is mein savā miltā hai Vo gadā jis ko na ho KHū-e savāl achchhā hai Un ke dekhe se jo aa jātī hai muñh par raunaq Vo samajhte hain ke bīmār kā hāl achchhā hai Dekhiye pāte hain ushshāq butoñ se kyā faiz Ik barahman ne kahā hai ke ye sāl achchhā hai Ham-suKHan tesha ne Farhād ko Shīrīñ se kiyā Jis tarah kā ke kisī mein ho kamāl achchhā hai Qatra daryā mein jo mil jā_e to daryā ho jā_e Kām achchhā hai vo jis kā ke ma_āl achchhā hai KHizr Sultān ko rakhe KHāliq-e Akbar sar-sabz Shāh ke bāġh mein ye tāza nihāl achchhā hai Ham ko ma'lūm hai jannat kī haqīqat lekin Dil ke KHush rakhne ko Ghalibؔ ye KHayāl achchhā hai