ہوئی تاخیر تو کچھ باعث تاخیر بھی تھا
ہوئی تاخیر تو کچھ باعث تاخیر بھی تھا آپ آتے تھے مگر کوئی عناں گیر بھی تھا تم سے بے جا ہے مجھے اپنی تباہی کا گلہ اس میں کچھ شائبۂ خوبی تقدیر بھی تھا تو مجھے بھول گیا ہو تو پتا بتلا دوں کبھی فتراک میں تیرے کوئی نخچیر بھی تھا قید میں ہے ترے وحشی کو وہی زلف کی یاد ہاں کچھ اک رنج گراں باری زنجیر بھی تھا بجلی اک کوند گئی آنکھوں کے آگے تو کیا بات کرتے کہ میں لب تشنۂ تقریر بھی تھا یوسف اس کو کہوں اور کچھ نہ کہے خیر ہوئی گر بگڑ بیٹھے تو میں لائق تعزیر بھی تھا دیکھ کر غیر کو ہو کیوں نہ کلیجا ٹھنڈا نالہ کرتا تھا ولے طالب تاثیر بھی تھا پیشہ میں عیب نہیں رکھیے نہ فرہاد کو نام ہم ہی آشفتہ سروں میں وہ جواں میر بھی تھا ہم تھے مرنے کو کھڑے پاس نہ آیا نہ سہی آخر اس شوخ کے ترکش میں کوئی تیر بھی تھا پکڑے جاتے ہیں فرشتوں کے لکھے پر نا حق آدمی کوئی ہمارا دم تحریر بھی تھا ریختے کے تمہیں استاد نہیں ہو غالبؔ کہتے ہیں اگلے زمانے میں کوئی میرؔ بھی تھا
English rendering
Huī taKHīr to kuchh bā'is-e taKHīr bhī thā Āp aate the magar ko_ī ināñ-gīr bhī thā Tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī kā gila Is mein kuchh shā_iba-e KHūbī-e taqdīr bhī thā Tū mujhe bhūl gayā ho to patā batlā dūñ Kabhī fitrāk mein tere ko_ī naKHchīr bhī thā Qaid mein hai tere vahshī ko vahī zulf kī yaad Hāñ kuchh ik ranj-e girāñ-bārī-e zañjīr bhī thā Bijlī ik kaund ga_ī āñkhoñ ke aage to kyā Baat karte ke maiñ lab-tishna-e taqrīr bhī thā Yūsuf us ko kahūñ aur kuchh na kahe KHair huī Gar bigaṛ baiṭhe to maiñ lā_iq-e ta'zīr bhī thā Dekh kar gair ko ho kyuuñ na kalījā ṭhanḍā Nāla kartā thā vale tālib-e tā_sīr bhī thā Pīsha mein aib nahīñ rakhiye na Farhād ko nām Ham hī āshufta-saroñ mein vo javāñ Mīr bhī thā Ham the marne ko khaṛe pās na aayā na sahī ĀKHir us shoKH ke tarkash mein ko_ī tīr bhī thā Pakaṛe jaate hain farishtoñ ke likhe par nā-haq Ādamī ko_ī hamārā dam-e tahrīr bhī thā ReKHte ke tumheñ ustād nahīñ ho Ghalibؔ Kahte hain agle zamāne mein ko_ī Mīrؔ bhī thā