والد کی وفات پر
تمہاری قبر پر میں فاتحہ پڑھنے نہیں آیا مجھے معلوم تھا تم مر نہیں سکتے تمہاری موت کی سچی خبر جس نے اڑائی تھی وہ جھوٹا تھا وہ تم کب تھے کوئی سوکھا ہوا پتہ ہوا سے مل کے ٹوٹا تھا مری آنکھیں تمہارے منظروں میں قید ہیں اب تک میں جو بھی دیکھتا ہوں سوچتا ہوں وہ وہی ہے جو تمہاری نیک نامی اور بد نامی کی دنیا تھی کہیں کچھ بھی نہیں بدلا تمہارے ہاتھ میری انگلیوں میں سانس لیتے ہیں میں لکھنے کے لیے جب بھی قلم کاغذ اٹھاتا ہوں تمہیں بیٹھا ہوا میں اپنی ہی کرسی میں پاتا ہوں بدن میں میرے جتنا بھی لہو ہے وہ تمہاری لغزشوں ناکامیوں کے ساتھ بہتا ہے مری آواز میں چھپ کر تمہارا ذہن رہتا ہے مری بیماریوں میں تم مری لاچاریوں میں تم تمہاری قبر پر جس نے تمہارا نام لکھا ہے وہ جھوٹا ہے تمہاری قبر میں میں دفن ہوں تم مجھ میں زندہ ہو کبھی فرصت ملے تو فاتحہ پڑھنے چلے آنا
English rendering
Tumhari qabr par Main fatiha padhne nahin aaya Mujhe maloom tha Tum mar nahin sakte Tumhari maut ki sachchi khabar jis ne udai thi Woh jhoota tha Woh tum kab the Koi sookha hua patta hawa se mil ke toota tha Meri aankhen Tumhare manzaron mein qaid hain ab tak Main jo bhi dekhta hoon Sochta hoon Woh wahi hai Jo tumhari nek naami aur bad naami ki duniya thi Kahin kuchh bhi nahin badla Tumhare haath meri ungliyon mein saans lete hain Main likhne ke liye Jab bhi qalam kagaz uthata hoon Tumhein baitha hua main apni hi kursi mein pata hoon Badan mein mere jitna bhi lahu hai Woh tumhari Laghzishon nakamiyon ke saath behta hai Meri aawaz mein chhup kar Tumhara zehen rehta hai Meri bimariyon mein tum Meri laachariyon mein tum Tumhari qabr par jis ne tumhara naam likha hai Woh jhoota hai Tumhari qabr mein main dafan hoon Tum mujh mein zinda ho Kabhi fursat mile to fatiha padhne chale aana