راہ کے پیڑ بھی فریاد کیا کرتے ہیں
راہ کے پیڑ بھی فریاد کیا کرتے ہیں جانے والوں کو بہت یاد کیا کرتے ہیں گرد جمتی چلی جاتی ہے سبھی چیزوں پر گھر کی تزئین تو افراد کیا کرتے ہیں کام ہی کیا ہے ترے زمزمہ پردازوں کو باغ میں مدحت شمشاد کیا کرتے ہیں پھول جھڑتے ہیں شفق فام ترے ہونٹھوں سے ایسی باتیں تو پری زاد کیا کرتے ہیں ہم نے ثروتؔ یہی جانا ہے گئے لوگوں سے آدمی بستیاں آباد کیا کرتے ہیں
English rendering
Raah ke peR bhi faryaad kiya karte hain Jaane walon ko bohat yaad kiya karte hain Gard jamti chali jati hai sabhi cheezon par Ghar ki tazeen to afraad kiya karte hain Kaam hi kya hai tere zamzama pardazon ko Bagh mein madhat-e-shamshad kiya karte hain Phool jharte hain shafaq-fam tere honthon se Aisi baatein to pari zad kiya karte hain Hum ne Sarwat yahi jaana hai gaye logon se Aadmi bastiyan aabaad kiya karte hain