دل تھا کہ پھول بن کے بکھرتا چلا گیا
دل تھا کہ پھول بن کے بکھرتا چلا گیا تصویر کا جمال ابھرتا چلا گیا شام آئی اور آئی کچھ اس اہتمام سے وہ گیسوئے دراز بکھرتا چلا گیا غم کی لکیر تھی کہ خوشی کا اداس رنگ ہر نقش آئینے میں ابھرتا چلا گیا ہر چند راستے میں تھے کانٹے بچھے ہوئے جس کو تیری طلب تھی گزرتا چلا گیا جب تک تری نگاہ نے توفیق دی مجھے میں تیری زلف بن کے سنورتا چلا گیا دو ہی تو کام تھے دل ناداں کو اے عدمؔ جیتا چلا گیا کبھی مرتا چلا گیا
English rendering
Dil thā ke phool ban ke bikharTā chalā gayā Tasvīr kā jamāl ubharTā chalā gayā Shām āī aur āī kuchh is ehtimām se Woh gīsu-e-darāz bikharTā chalā gayā Gham kī lakīr thī ke KHushī kā udās rang Har naqsh āīne mein ubharTā chalā gayā Har chand rāste mein the kānTe bichhe hu'e Jis ko terī talab thī guzarTā chalā gayā Jab tak terī nigāh ne taufīq dī mujhe Main terī zulf ban ke sanwarTā chalā gayā Do hī to kām the dil-e-nādān ko ay 'Adam' Jītā chalā gayā kabhī marTā chalā gayā