فرصت کے سہانے لمحوں میں کیا کام کی باتیں ہوتی ہیں
فرصت کے سہانے لمحوں میں کیا کام کی باتیں ہوتی ہیں کچھ یار کا قصہ ہوتا ہے کچھ جام کی باتیں ہوتی ہیں اے دوست تبسم کی لہریں ہونٹوں پہ کہاں سے اب لاؤں حالات کے میلے ہوتے ہیں ایام کی باتیں ہوتی ہیں ارباب خرد کی محفل میں دل اور پریشاں ہوتا ہے کچھ سوچ کے وقفے ہوتے ہیں کچھ کام کی باتیں ہوتی ہیں آلام زمانہ فرصت دیں تو بیٹھ کے دل کا حال کہیں اس زلف مسلسل کی باتیں آرام کی باتیں ہوتی ہیں جس وقت عدمؔ دل دنیا کے افکار سے خالی ہوتا ہے اس وقت جو باتیں ہوتی ہیں الہام کی باتیں ہوتی ہیں
English rendering
Fursat ke suhāne lamhon mein kyā kām kī bāten hotī hain Kuchh yār kā qissa hotā hai kuchh jām kī bāten hotī hain Ay dost tabassum kī laharen honTon pe kahāñ se ab lā'ūn Hālāt ke maile hote hain ayyām kī bāten hotī hain Arbāb-e-KHirad kī mahfil mein dil aur pareshān hotā hai Kuchh soch ke waqfay hote hain kuchh kām kī bāten hotī hain Ālām-e-zamāna fursat den to baiTh ke dil kā hāl kahīn Is zulf-e-musalsal kī bāten ārām kī bāten hotī hain Jis waqt 'Adam' dil duniyā ke afkār se KHālī hotā hai Us waqt jo bāten hotī hain ilhām kī bāten hotī hain