ہنس ہنس کے جام جام کو چھلکا کے پی گیا
ہنس ہنس کے جام جام کو چھلکا کے پی گیا وہ خود پلا رہے تھے میں لہرا کے پی گیا توبہ کے ٹوٹنے کا بھی کچھ کچھ ملال تھا تھم تھم کے سوچ سوچ کے شرما کے پی گیا ساغر بدست بیٹھی رہی میری آرزو ساقی شفق سے جام کو ٹکرا کے پی گیا وہ دشمنوں کے طنز کو ٹھکرا کے پی گئے میں دوستوں کے غیظ کو بھڑکا کے پی گیا صدہا مطالبات کے بعد ایک جام تلخ دنیائے جبر و صبر کو دھڑکا کے پی گیا سو بار لغزشوں کی قسم کھا کے چھوڑ دی سو بار چھوڑنے کی قسم کھا کے پی گیا پیتا کہاں تھا صبح ازل میں بھلا عدمؔ ساقی کے اعتبار پہ لہرا کے پی گیا
English rendering
Hans hans ke jām jām ko chhalkā ke pī gayā Woh KHud pilā rahe the main lahrā ke pī gayā Tauba ke TooTne kā bhī kuchh kuchh malāl thā Tham tham ke soch soch ke sharmā ke pī gayā Sāghar ba-dast baiThī rahī merī ārzū Sāqī shafaq se jām ko Takrā ke pī gayā Woh dushmanon ke tanz ko Thukrā ke pī ga'e Main doston ke ghaiZ ko bhaRkā ke pī gayā Sadhā mutālibāt ke ba'd ek jām-e-talKH Duniyā-e-jabr-o-sabr ko dhaRkā ke pī gayā Sau bār laghzishon kī qasam khā ke chhoR dī Sau bār chhoRne kī qasam khā ke pī gayā Pītā kahāñ thā subh-e-azal mein bhalā 'Adam' Sāqī ke e'tibār pe lahrā ke pī gayā