لہرا کے جھوم جھوم کے لا مسکرا کے لا
لہرا کے جھوم جھوم کے لا مسکرا کے لا پھولوں کے رس میں چاند کی کرنیں ملا کے لا کہتے ہیں عمر رفتہ کبھی لوٹتی نہیں جا مے کدے سے میری جوانی اٹھا کے لا ساغر شکن ہے شیخ بلا نوش کی نظر شیشے کو زیر دامن رنگیں چھپا کے لا کیوں جا رہی ہے روٹھ کے رنگینیِ بہار جا ایک مرتبہ اسے پھر ورغلا کے لا دیکھی نہیں ہے تو نے کبھی زندگی کی لہر اچھا تو جا عدمؔ کی صراحی اٹھا کے لا
English rendering
Lahrā ke jhoom jhoom ke lā muskura ke lā Phoolon ke ras mein chānd kī kirnen milā ke lā Kehte hain umar-e-rafta kabhī lauTtī nahīn Jā mai-kade se merī jawānī uThā ke lā Sāghar shikan hai shaiKH-e-balā-nosh kī nazar Shīshe ko zer-e-dāman-e-rangīn chhupā ke lā Kyon jā rahī hai rooTh ke rangīnī-e-bahār Jā ek martaba use phir warghalā ke lā Dekhī nahīn hai tū ne kabhī zindagī kī lahar Achhā tū jā 'Adam' kī surāhī uThā ke lā