مطلب معاملات کا کچھ پا گیا ہوں میں
مطلب معاملات کا کچھ پا گیا ہوں میں ہنس کر فریب چشم کرم کھا گیا ہوں میں بس انتہا ہے چھوڑیئے بس رہنے دیجئے خود اپنے اعتماد سے شرما گیا ہوں میں ساقی ذرا نگاہ ملا کر تو دیکھنا کمبخت ہوش میں تو نہیں آ گیا ہوں میں شاید مجھے نکال کے پچھتا رہے ہوں آپ محفل میں اس خیال سے پھر آ گیا ہوں میں کیا اب حساب بھی تو مرا لے گا حشر میں کیا یہ عتاب کم ہے یہاں آ گیا ہوں میں میں عشق ہوں مرا بھلا کیا کام دار سے وہ شرع تھی جسے وہاں لٹکا گیا ہوں میں نکلا تھا مے کدے سے کہ اب گھر چلوں عدمؔ گھبرا کے سوئے مے کدہ پھر آ گیا ہوں میں
English rendering
Matlab mu'āmalāt kā kuchh pā gayā hoon main Hans kar fareb-e-chashm-e-karam khā gayā hoon main Bas intihā hai chhoRī'e bas rehne dījiye KHud apne e'timād se sharmā gayā hoon main Sāqī zarā nigāh milā kar to dekhnā Kambakht hosh mein to nahīn ā gayā hoon main Shāyad mujhe nikāl ke pachhtā rahe hon āp Mahfil mein is KHayāl se phir ā gayā hoon main Kyā ab hisāb bhī to merā le gā hashr mein Kyā yeh itāb kam hai yahāñ ā gayā hoon main Main ishq hoon merā bhalā kyā kām dār se Woh shar'a thī jise wahāñ laTkā gayā hoon main Niklā thā mai-kade se ke ab ghar chalūn 'Adam' Ghabrā ke sū-e-mai-kada phir ā gayā hoon main