مسکرا کر خطاب کرتے ہو
مسکرا کر خطاب کرتے ہو عادتیں کیوں خراب کرتے ہو مار دو مجھ کو رحم دل ہو کر کیا یہ کار ثواب کرتے ہو مفلسی اور کس کو کہتے ہیں! دولتوں کا حساب کرتے ہو صرف اک التجا ہے چھوٹی سی کیا اسے باریاب کرتے ہو ہم تو تم کو پسند کر بیٹھے تم کسے انتخاب کرتے ہو خار کی نوک کو لہو دے کر انتظار گلاب کرتے ہو یہ نئی احتیاط دیکھی ہے آئنے سے حجاب کرتے ہو کیا ضرورت ہے بحث کرنے کی کیوں کلیجہ کباب کرتے ہو ہو چکا جو حساب ہونا تھا اور اب کیا حساب کرتے ہو ایک دن اے عدمؔ نہ پی تو کیا روز شغل شراب کرتے ہو کتنے بے رحم ہو عدمؔ تم بھی ذکر عہد شباب کرتے ہو ہو کسی کی خوشی گر اس میں عدمؔ جرم کا ارتکاب کرتے ہو
English rendering
Muskurā kar KHitāb karte ho Ādaten kyon KHarāb karte ho Mār do mujh ko rahm-dil ho kar Kyā yeh kār-e-sawāb karte ho Muflisī aur kis ko kehte hain! Daulaton kā hisāb karte ho Sirf ik iltijā hai chhoTī sī Kyā use bār-yāb karte ho Ham to tum ko pasand kar baiThe Tum kise intikhāb karte ho KHār kī nok ko lahu de kar Intizār-e-gulāb karte ho Yeh naī ehtiyāt dekhī hai Āīne se hijāb karte ho Kyā zarūrat hai bahs karne kī Kyon kalejā kabāb karte ho Ho chukā jo hisāb honā thā Aur ab kyā hisāb karte ho Ek din ay 'Adam' na pī to kyā Roz shughl-e-sharāb karte ho Kitne be-rahm ho 'Adam' tum bhī Zikr-e-ahd-e-shabāb karte ho Hō kisī kī KHushī gar is mein 'Adam' Juram kā irtikāb karte ho