عبدالحمیدعدم

عبدالحمیدعدم

شاعر — Abdul Hameed Adam

تعارف شاعری

ساقی شراب لا کہ طبیعت اداس ہے

ساقی شراب لا کہ طبیعت اداس ہے مطرب رباب اٹھا کہ طبیعت اداس ہے رک رک کے ساز چھیڑ کہ دل مطمئن نہیں تھم تھم کے مے پلا کہ طبیعت اداس ہے چبھتی ہے قلب و جاں میں ستاروں کی روشنی اے چاند ڈوب جا کہ طبیعت اداس ہے مجھ سے نظر نہ پھیر کہ برہم ہے زندگی مجھ سے نظر ملا کہ طبیعت اداس ہے شاید ترے لبوں کی چٹک سے ہو جی بحال اے دوست مسکرا کہ طبیعت اداس ہے ہے حسن کا فسوں بھی علاج فسردگی رخ سے نقاب اٹھا کہ طبیعت اداس ہے میں نے کبھی یہ ضد تو نہیں کی پر آج شب اے مہ جبیں نہ جا کہ طبیعت اداس ہے امشب گریز و رم کا نہیں ہے کوئی محل آغوش میں در آ کہ طبیعت اداس ہے کیفیت سکوت سے بڑھتا ہے اور غم قصہ کوئی سنا کہ طبیعت اداس ہے یوں ہی درست ہوگی طبیعت تری عدمؔ کمبخت بھول جا کہ طبیعت اداس ہے توبہ تو کر چکا ہوں مگر پھر بھی اے عدمؔ تھوڑا سا زہر لا کہ طبیعت اداس ہے

— عبدالحمیدعدم

English rendering

Sāqī sharāb lā ke tabī'at udās hai Mutrib rabāb uThā ke tabī'at udās hai Ruk ruk ke sāz chheR ke dil mutma'in nahīn Tham tham ke mai pilā ke tabī'at udās hai Chubhtī hai qalb-o-jāñ mein sitāron kī roshanī Ay chānd Doob jā ke tabī'at udās hai Mujh se nazar na pher ke barham hai zindagī Mujh se nazar milā ke tabī'at udās hai Shāyad tere labon kī chaTak se ho jī ba-hāl Ay dost muskurā ke tabī'at udās hai Hai husn kā fasūn bhī ilāj-e-fasurdagī RuKH se niqāb uThā ke tabī'at udās hai Main ne kabhī yeh zid to nahīn kī par āj shab Ay mah-jabīn na jā ke tabī'at udās hai Imshab gurez-o-ram kā nahīn hai koī mahal Āgosh mein dar ā ke tabī'at udās hai Kaifiyat-e-sukūt se baRhtā hai aur gham Qissa koī sunā ke tabī'at udās hai Yūn hī durust hogī tabī'at terī 'Adam' Kambakht bhool jā ke tabī'at udās hai Tauba to kar chukā hoon magar phir bhī ay 'Adam' ThoRā sā zehar lā ke tabī'at udās hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس