عبدالحمیدعدم

عبدالحمیدعدم

شاعر — Abdul Hameed Adam

تعارف شاعری

وہ جو تیرے فقیر ہوتے ہیں

وہ جو تیرے فقیر ہوتے ہیں آدمی بے نظیر ہوتے ہیں دیکھنے والا اک نہیں ملتا آنکھ والے کثیر ہوتے ہیں جن کو دولت حقیر لگتی ہے اف! وہ کتنے امیر ہوتے ہیں جن کو قدرت نے حسن بخشا ہو قدرتاً کچھ شریر ہوتے ہیں زندگی کے حسین ترکش میں کتنے بے رحم تیر ہوتے ہیں وہ پرندے جو آنکھ رکھتے ہیں سب سے پہلے اسیر ہوتے ہیں پھول دامن میں چند رکھ لیجے راستے میں فقیر ہوتے ہیں ہے خوشی بھی عجیب شے لیکن غم بڑے دل پذیر ہوتے ہیں اے عدمؔ احتیاط لوگوں سے لوگ منکر نکیر ہوتے ہیں

— عبدالحمیدعدم

English rendering

Woh jo tere faqīr hote hain Ādamī be-nazīr hote hain Dekhne wālā ik nahīn miltā Ānkh wale kasīr hote hain Jin ko daulat haqīr lagtī hai Uff! woh kitne amīr hote hain Jin ko qudrat ne husn baKHshā ho Qudratan kuchh sharīr hote hain Zindagī ke hasīn tarkash mein Kitne be-rahm tīr hote hain Woh parinde jo āñkh rakhte hain Sab se pehle asīr hote hain Phool dāman mein chand rakh lījiye Rāste mein faqīr hote hain Hai KHushī bhī ajīb shai lekin Gham baRe dil-pazīr hote hain Ay 'Adam' ehtiyāt logon se Log munkir nakīr hote hain

‹ کلام کی فہرست پر واپس